main ek bachche ki tarah hun
maiñ ek bachche kī tarah huuñ
jo pāltū jānvar aur darinde meñ farq nahīñ kar saktā
maiñ us ke bahut qarīb chalā jaatā huuñ
ek 'aurat jis kī chhātiyāñ bharpūr haiñ
maiñ un kī nok par apne hoñTh rakhnā chāhtā huuñ
maiñ us ke bāzuoñ par sar rakh kar ronā chāhtā huuñ
maiñ ek bachche kī tarah huuñ
main ek bachche ki tarah hun
jo paltu jaanwar aur darinde mein farq nahin kar sakta
main us ke bahut qarib chala jata hun
ek 'aurat jis ki chhatiyan bharpur hain
main un ki nok par apne honTh rakhna chahta hun
main us ke bazuon par sar rakh kar rona chahta hun
main ek bachche ki tarah hun
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 113)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.