main hun ek chuqandar ji
mujhe mufīd hī paao tum
jis mausam meñ khaao tum
june august september jī
maiñ huuñ ek chuqandar jī
khā.eñ mujhe ḳhargosh bahut
uchhleñ ye pur-josh bahut
mujh ko khā.eñ bandar jī
maiñ huuñ ek chuqandar jī
maze kā merā juice baḌā
lekin lenā tum taaza
saath milānā gājar jī
maiñ huuñ ek chuqandar jī
sar huuñ maiñ na dhaḌ huuñ maiñ
paude kī ik jaḌ huuñ maiñ
bāhar aadhā andar jī
maiñ huuñ ek chuqandar jī
mujh meñ hai nitrate baḌā
baḌhe na is se peT baḌā
kyā kyā mere andar jī
maiñ huuñ ek chuqandar jī
chehre ko shādāb karūñ
kuchh karne kī himmat duuñ
sehat kā ek samundar jī
maiñ huuñ ek chuqandar jī
mujhe mufid hi pao tum
jis mausam mein khao tum
june august september ji
main hun ek chuqandar ji
khaen mujhe KHargosh bahut
uchhlen ye pur-josh bahut
mujh ko khaen bandar ji
main hun ek chuqandar ji
maze ka mera juice baDa
lekin lena tum taza
sath milana gajar ji
main hun ek chuqandar ji
sar hun main na dhaD hun main
paude ki ek jaD hun main
bahar aadha andar ji
main hun ek chuqandar ji
mujh mein hai nitrate baDa
baDhe na is se peT baDa
kya kya mere andar ji
main hun ek chuqandar ji
chehre ko shadab karun
kuchh karne ki himmat dun
sehat ka ek samundar ji
main hun ek chuqandar ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.