Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main kab se be-Khaal-o-KHat paDa hun

Qasim Yaqub

main kab se be-Khaal-o-KHat paDa hun

Qasim Yaqub

MORE BYQasim Yaqub

    kahāñ haiñ āñkheñ

    maiñ jin meñ tīra-shabī tiryāq

    āsmāñ par khile sitāroñ meñ DhūñDtā thā

    maiñ dekhtā thā

    jo had-e-idrāk meñ nahīñ thā

    jo duur ho kar bhī mere mārūz meñ kahīñ thā

    maiñ apnī poroñ se puurā chehra TaTol ke ḳhud se pūchhtā huuñ

    kahāñ haiñ hoñToñ ke surḳh kone

    kisī ke ruḳhsār amāvas raat meñ jo

    sitāra ban ke tulū hote

    jo muskurāte, to phuul jhaḌte

    jo harf do harf ik kahānī haar bante

    jo munkashif ho ke raushnī libās hote

    kahāñ hai kānoñ hairatī sharāb-ḳhāna

    jahāñ pe āvāz

    bahte chashmoñ tāzgī surāġh le kar

    mirī samā.at rizq bantī

    maiñ kis se pūchhūñ

    vo jis se khilte the

    bārishoñ meñ mahaktī miTTī ḳhush-buoñ ke

    tamām mafhūm ab, kahāñ hai

    maiñ kab se be-ḳhāl-o-ḳhat paḌā huuñ

    mirā koī saaya nahīñ hai

    sab ā.īne jhuuT bolte haiñ

    kisī ke chehre ko merā chehra dikhā rahe haiñ

    kahan hain aankhen

    main jin mein tira-shabi ka tiryaq

    aasman par khile sitaron mein DhunDta tha

    main dekhta tha

    jo had-e-idrak mein nahin tha

    jo dur ho kar bhi mere maruz mein kahin tha

    main apni poron se pura chehra TaTol ke KHud se puchhta hun

    kahan hain honTon ke surKH kone

    kisi ke ruKHsar ki amawas ki raat mein jo

    sitara ban ke tulu hote

    jo muskuraate, to phul jhaDte

    jo harf do harf ek kahani ka haar bante

    jo munkashif ho ke raushni ka libas hote

    kahan hai kanon ki hairati ka sharab-KHana

    jahan pe aawaz

    bahte chashmon ki tazgi ka suragh le kar

    meri samaat ka rizq banti

    main kis se puchhun

    wo jis se khilte the

    barishon mein mahakti miTTi ki KHush-buon ke

    tamam mafhum ab, kahan hai

    main kab se be-KHal-o-KHat paDa hun

    mera koi saya hi nahin hai

    sab aaine jhuT bolte hain

    kisi ke chehre ko mera chehra dikha rahe hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main kab se be-Khaal-o-KHat paDa hun Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now