Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ki tum pe baz hun

Ateequllah

main ki tum pe baz hun

Ateequllah

MORE BYAteequllah

    jahāñ kahīñ se tum ne apne fāsle uThā liye

    vahīñ se merī ibtidā huī

    saikaḌoñ nahīf aur nazār haath

    āsmān taraf uThe

    aur ek saath uTh ke mere chāroñ samt

    ka.ī safoñ meñ tan ga.e

    maiñ tumhāre vāste

    tumhāre naam se

    ek aise baab ke dahāne par khaḌā huuñ

    jo hazāroñ samtoñ ko rujūa hai

    maiñ ki tum pe baaz huuñ

    ḳhudā.ī sab ḳhudā.ī tum pe baaz hai

    tum mirī taraf jhukī raho

    jhukī raho

    ki is ke ba.ad mere aur tumhāre jism

    bā-murād shirkatoñ se ek tandurust shahr umiid hai

    jahan kahin se tum ne apne fasle uTha liye

    wahin se meri ibtida hui

    saikaDon nahif aur nazar hath

    aasman ki taraf uThe

    aur ek sath uTh ke mere chaaron samt

    kai safon mein tan gae

    main tumhaare waste

    tumhaare nam se

    ek aise bab ke dahane par khaDa hun

    jo hazaron samton ko rujua hai

    main ki tum pe baz hun

    KHudai ki sab KHudai tum pe baz hai

    tum meri taraf jhuki raho

    jhuki raho

    ki is ke baad mere aur tumhaare jism ki

    ba-murad shirkaton se ek tandurust shahr ki umid hai

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 224)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now