Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine bhi aam rakh diya

Khalid Irfan

maine bhi aam rakh diya

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    goroñ ne mere des par apnā nizām rakh diyā

    ek ġhulām uThā liyā ek ġhulām rakh diyā

    tum ne ḳhudā ke ghar meñ bhī fitna-e-ām rakh diyā

    mere imaam jagah apnā imaam rakh diyā

    us ne to merī yaad ko dil meñ chhupāyā is tarah

    jaise swiss-bank meñ māl-e-harām rakh diyā

    shīrīñ-laboñ ko dekh ke maiñ khā rahā thā mango

    us ne jo hoñT liye maiñ ne bhī aam rakh diyā

    ghar meñ luġhat na thī koī jaldī meñ us ke baap ne

    binat-e-siyāh-fām chāñdnī naam rakh diyā

    baiThī huī hai aaj vo bāloñ vig utaar kar

    goyā sharāb pheñk kar mez pe jaam rakh diyā

    mujh ko bulā ke ghar meñ ek shā.er-e-bā-kamāl ne

    taaza ta.aam jagah taaza kalām rakh diyā

    goron ne mere des par apna nizam rakh diya

    ek ghulam uTha liya ek ghulam rakh diya

    tum ne KHuda ke ghar mein bhi fitna-e-am rakh diya

    mere imam ki jagah apna imam rakh diya

    us ne to meri yaad ko dil mein chhupaya is tarah

    jaise swiss-bank mein mal-e-haram rakh diya

    shirin-labon ko dekh ke main kha raha tha mango

    us ne jo honT si liye main ne bhi aam rakh diya

    ghar mein lughat na thi koi jaldi mein us ke bap ne

    binat-e-siyah-fam ka chandni nam rakh diya

    baiThi hui hai aaj wo baalon ki wig utar kar

    goya sharab phenk kar mez pe jam rakh diya

    mujh ko bula ke ghar mein ek shaer-e-ba-kamal ne

    taza taam ki jagah taza kalam rakh diya

    Source:

    excuse me (Pg. 63)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now