Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sochta hun

Iftikhar Bukhari

main sochta hun

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    maiñ sochtā huuñ

    agar do rāste hote

    tum tak jaane ke liye

    kisī baaġh meñ chahal-qadmī tarah

    yaḳh-basta pahāḌoñ meñ

    safed surañgoñ jaise

    agar do ḳhvāb hote

    sahmī huī ḳhāmosh rātoñ meñ

    jāgne ke liye

    sone ke liye

    agar do jangal hote

    pur-asrār bhaTakne ke liye

    duniyā-dāroñ se kaTne ke liye

    agar do parinde hote

    mohabbat ke liye

    agar do sarāb hote

    pyāsā jiine ke liye

    pyāsā marne ke liye

    agar do kahāniyāñ hotīñ

    qadīm chaTTān par kanda

    nā-qābil-e-fahm nuqūsh meñ madfūn

    yaad karne ke liye

    bhuul jaane ke liye

    agar do giit hote

    mere jiite

    āḳhirī hichkī lene ke liye

    mere ba.ad kuchh pal

    mujhe rone ke liye

    agar do sitāre hote

    sub.h-e-kāzib dahlīz par

    chamakne ke liye

    bujhne ke liye

    umr guzār kar

    maiñ sochtā huuñ

    ye mumkin nahīñ

    is duniyā be-intihā.ī meñ

    do chīzeñ nahīñ hotīñ

    sivā.e do tanhā.iyoñ ke

    aur maiñ

    main sochta hun

    agar do raste hote

    tum tak jaane ke liye

    kisi bagh mein chahal-qadmi ki tarah

    yaKH-basta pahaDon mein

    safed surangon jaise

    agar do KHwab hote

    sahmi hui KHamosh raaton mein

    jagne ke liye

    sone ke liye

    agar do jangal hote

    pur-asrar bhaTakne ke liye

    ya duniya-daron se kaTne ke liye

    agar do parinde hote

    mohabbat ke liye

    agar do sarab hote

    pyasa jine ke liye

    pyasa marne ke liye

    agar do kahaniyan hotin

    qadim chaTTan par kanda

    na-qabil-e-fahm nuqush mein madfun

    yaad karne ke liye

    bhul jaane ke liye

    agar do git hote

    mere jite ji

    aaKHiri hichki lene ke liye

    ya mere baad kuchh pal

    mujhe rone ke liye

    agar do sitare hote

    subh-e-kazib ki dahliz par

    chamakne ke liye

    bujhne ke liye

    umr guzar kar

    main sochta hun

    ye mumkin nahin

    is duniya ki be-intihai mein

    do chizen nahin hotin

    siwae do tanhaiyon ke

    tu

    aur main

    Source:

    Tasteer (Pg. 200)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now