Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sona chahta hun

Iftikhar Bukhari

main sona chahta hun

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    maiñ sonā chāhtā huuñ

    maiñ vāpas apne gum-shuda ḳhvāb

    naav meñ

    sonā chāhtā huuñ

    marī huī machhliyoñ jaisī

    tez shar-añgez mahak ke

    zer-e-asar

    huā yuuñ ki maiñ ne apne badan par

    giilī lazīz uñgliyoñ ko

    reñgte mahsūs kiyā

    vo do ḳhūbsūrat haath the

    marjānī patthar se tarāshīda

    kisī jādūī ḳhayāl jaisī

    kuñvārī laash

    mere pahlū meñ

    achānak bedārī

    binā kuchh soche

    maiñ raat nadī meñ kuud gayā

    sāhil samt

    musalsal tairtā huā

    jahāñ giilī ret par

    udaas kachhve

    aane vaale zamānoñ ke

    anDe dafn kar ke

    vāpsī ke safar par

    reñgte haiñ

    mujhe aspatāloñ meñ batāyā gayā

    maiñ lā-ilāj huuñ

    mujhe mere āḳhirī pal tak

    udaas kachhuoñ ke pairoñ

    be-āvāz aahaT

    sone nahīñ degī

    main sona chahta hun

    main wapas apne gum-shuda KHwab

    ki naw mein

    sona chahta hun

    mari hui machhliyon jaisi

    tez shar-angez mahak ke

    zer-e-asar

    hua yun ki main ne apne badan par

    gili laziz ungliyon ko

    rengte mahsus kiya

    wo do KHubsurat hath the

    marjaani patthar se tarashida

    kisi jadui KHayal jaisi

    kunwari lash

    mere pahlu mein

    achanak bedari

    bina kuchh soche

    main raat ki nadi mein kud gaya

    sahil ki samt

    musalsal tairta hua

    jahan gili ret par

    udas kachhwe

    aane wale zamanon ke

    anDe dafn kar ke

    wapsi ke safar par

    rengte hain

    mujhe aspatalon mein bataya gaya

    main la-ilaj hun

    mujhe mere aaKHiri pal tak

    udas kachhuon ke pairon ki

    be-awaz aahaT

    sone nahin degi

    Source:

    Tasteer (Pg. 197)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now