Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tumhaare liye Thahrunga

Muneebur Rahman

main tumhaare liye Thahrunga

Muneebur Rahman

MORE BYMuneebur Rahman

    maiñ tumhāre liye Thahrūñgā ki shāyad aao

    aur jab donoñ pahar milte hoñ

    ham bhī aapas meñ mileñ

    jaise ik roz milā karte the

    din ke hañgāme bujhe jaate haiñ

    sard hone lagī Dhaltī huī shaam

    kashtiyāñ aa ke kināre se lagīñ

    jhiil leTī huī mahv-e-ārām

    peḌ din bhar thakan se bojhal

    qurb sarmā havā sust-ḳhirām

    dil mirā bār-hā aayā hai yahāñ

    chal ke us raste se jo uun ke gole tarah

    mere qadmoñ meñ khulā jaatā thā

    phir muḳhil hote hue pattoñ sargoshī meñ

    ek āvāz ne rah rah ke bulāyā thā mujhe

    vaqt haath Tahoke se diye jaatā hai

    yuuñ chalte raho pīchhe taraf mat dekho

    raat aa jā.egī so jāoge

    aur jo guuñj uThā kartī hai

    duur vīrānoñ meñ kho jā.egī

    main tumhaare liye Thahrunga ki shayad aao

    aur jab donon pahar milte hon

    hum bhi aapas mein milen

    jaise ek roz mila karte the

    din ke hangame bujhe jate hain

    sard hone lagi Dhalti hui sham

    kashtiyan aa ke kinare se lagin

    jhil leTi hui mahw-e-aram

    peD din bhar ki thakan se bojhal

    qurb sarma ki hawa sust-KHiram

    dil mera bar-ha aaya hai yahan

    chal ke us raste se jo un ke gole ki tarah

    mere qadmon mein khula jata tha

    phir muKHil hote hue patton ki sargoshi mein

    ek aawaz ne rah rah ke bulaya tha mujhe

    waqt ka hath Tahoke se diye jata hai

    yun hi chalte raho pichhe ki taraf mat dekho

    raat aa jaegi so jaoge

    aur jo gunj uTha karti hai

    dur viranon mein kho jaegi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main tumhaare liye Thahrunga Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now