Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main wahi hun

Osama Khalid

main wahi hun

Osama Khalid

MORE BYOsama Khalid

    tirī surma.ī aañkh se bahne vaalā siyah ashk

    jis ne malāl oḌh kar terī takmīl

    maiñ ne jo bhī kiyā

    apne andar vahshī jagā kar tire sāmne sar-ba-zānū kiyā

    udāsī ke jabḌe se chhīnī huī ranj is ġhazabnāk ḳhurāk se terā dozaḳh bharā

    terī takmīl

    ab mujhe bhī aziyyat bābat meñ koī sitāra badan chāhiye

    apne andar ke shor-o-shaġhab se nikal kar mirī baat sun

    shāḳh-e-ummīd par koī kāñTā khilā

    mujh ko vāpas bulā

    teri surmai aankh se bahne wala siyah ashk

    jis ne malal oDh kar teri takmil ki

    main ne jo bhi kiya

    apne andar ka wahshi jaga kar tere samne sar-ba-zanu kiya

    ya udasi ke jabDe se chhini hui ranj ki is ghazabnak KHurak se tera dozaKH bhara

    teri takmil ki

    ab mujhe bhi aziyyat ki babat mein koi sitara badan chahiye

    apne andar ke shor-o-shaghab se nikal kar meri baat sun

    shaKH-e-ummid par koi kanTa khila

    mujh ko wapas bula

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now