aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majaz ki maut par

Davarka Das Shola

majaz ki maut par

Davarka Das Shola

MORE BYDavarka Das Shola

    ai be-niyāz-e-shuq-e-farāvāñ kahāñ hai

    ai nig.hat-e-shamīm-e-bahārāñ kahāñ hai

    ai bā.is-e-faroġh-e-gulistāñ kahāñ hai

    ai raunaq-e-vajūd-e-ḳhayābāñ kahāñ hai

    pathrā ga.ī haiñ āñkheñ tire intizār meñ

    kuchh to batā ki ai mah-e-tābāñ kahāñ hai

    vo tere shauq-e-naġhma-sarā.ī ko kyā huā

    ai yaar naġhma-rez-o-ġhazal-ḳhvāñ kahāñ hai

    tere baġhair kuchh nahīñ lutf-e-sharāb-o-sher

    ai nig.hat-e-latīf-e-ḳhayābāñ kahāñ hai

    haañ tere dam se raunaq-e-bazm-e-vajūd thī

    ai raushnī-e-sham-e-farozāñ kahāñ hai

    tere baġhair ḳhāk-basar phir rahā huuñ maiñ

    mere baġhair sar-ba-garebāñ kahāñ hai

    ai be-niyaz-e-shuq-e-farawan kahan hai tu

    ai nighat-e-shamim-e-bahaaran kahan hai tu

    ai bais-e-farogh-e-gulistan kahan hai tu

    ai raunaq-e-wajud-e-KHayaban kahan hai tu

    pathra gai hain aankhen tere intizar mein

    kuchh to bata ki ai mah-e-taban kahan hai tu

    wo tere shauq-e-naghma-sarai ko kya hua

    ai yar naghma-rez-o-ghazal-KHwan kahan hai tu

    tere baghair kuchh nahin lutf-e-sharab-o-sher

    ai nighat-e-latif-e-KHayaban kahan hai tu

    han tere dam se raunaq-e-bazm-e-wajud thi

    ai raushni-e-sham-e-farozan kahan hai tu

    tere baghair KHak-basar phir raha hun main

    mere baghair sar-ba-gareban kahan hai tu

    Source:

    Shola-Zaar (Pg. 294)

    • Author: Davarka Das Shola
      • Edition: 1962
      • Publisher: Urdu Writers Co-Operative Society, Delhi
      • Year of Publication: 1962

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now