Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majburi

MORE BYShahnaz Parveen Shazi

    samajhnā chāhiye majbūriyāñ ahl-e-chaman ko sabz beloñ

    numū muhtāj hai jin hamesha ik sahāre

    daraḳhtoñ ke tane dīvār phāTak muñDereñ hoñ

    panaptī haiñ sahāroñ par to ye sarsabz rahtī haiñ

    sahāre chhūT jaa.eñ gar

    to phir jiine majbūrī

    kisī nemul-badal ko DhūñD letī hai

    vagarna un shādābī ḳhizāñ nazr hotī hai

    mohabbat uns chāhat bhī inhīñ kamzor beloñ ke mushābah haiñ

    unheñ bhī ham-navāoñ ham-nashīnoñ ke sahāroñ zarūrat hai

    sahārā chhūT jaa.e

    to unheñ bhī zinda rahne ke liye

    nemul-badal darkār hotā hai

    nahīñ to bin sahāre dostī rishte marāsim uns chāhat aur ta.alluq

    ye komal sabz beleñ sab ḳhizāñ nazar hoñ

    aur vaqt se pahle mar jaa.eñ

    samajhna chahiye majburiyan ahl-e-chaman ko sabz belon ki

    numu muhtaj hai jin ki hamesha ek sahaare ki

    daraKHton ke tane diwar phaTak ya munDeren hon

    panapti hain sahaaron par to ye sarsabz rahti hain

    sahaare chhuT jaen gar

    to phir jine ki majburi

    kisi nemul-badal ko DhunD leti hai

    wagarna un ki shadabi KHizan ki nazr hoti hai

    mohabbat uns chahat bhi inhin kamzor belon ke mushabah hain

    unhen bhi ham-nawaon ham-nashinon ke sahaaron ki zarurat hai

    sahaara chhuT jae

    to unhen bhi zinda rahne ke liye

    nemul-badal darkar hota hai

    nahin to bin sahaare dosti rishte marasim uns chahat aur talluq

    ki ye komal sabz belen sab KHizan ki nazar hon

    aur waqt se pahle hi mar jaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now