Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan

Gulzar

makan

Gulzar

MORE BYGulzar

    ek luḌhkī huī vaadī meñ

    bahut nīche ḳhalāoñ se

    jahāñ dhundlī fazāoñ chalan hai

    ḳhasta ek makāñ mujh ko virāsat meñ milā hai

    jis tarah suukh ke zaḳhmoñ se girā kartī hai papḌī

    us dīvāroñ se is tarah se girtā hai plastar

    ek paañv pe khaḌe saare sutūñ thak se ga.e haiñ

    ḳhurda dāñtoñ tarah hiltī haiñ har taaq meñ īñTeñ

    moch khaa.ī huī kuchh khiḌkiyāñ tirchhī khaḌī haiñ

    kāñch dhundlā.e hue chaTḳhe hue

    pahle bāhar taraf khultī thiiñ aflāk jānib

    ab ye andar bhī nahīñ khultīñ agar saañs ghuTe

    abr-ālūd haiñ ab

    aur havāoñ meñ bhī sūrāḳh paḌe haiñ

    merā paidā.eshī ghar hai mujhe rahnā hai yahīñ par

    ek mailā falak hai to mire sar pe abhī tak

    Dartā huuñ gir na paḌe sote meñ ek roz kahīñ

    ek luDhki hui wadi mein

    bahut niche KHalaon se

    jahan dhundli fazaon ka chalan hai

    KHasta sa ek makan mujh ko wirasat mein mila hai

    jis tarah sukh ke zaKHmon se gira karti hai papDi

    us ki diwaron se is tarah se girta hai plastar

    ek panw pe khaDe sare sutun thak se gae hain

    KHurda danton ki tarah hilti hain har taq mein inTen

    moch khai hui kuchh khiDkiyan tirchhi si khaDi hain

    kanch dhundlae hue chaTKHe hue

    pahle bahar ki taraf khulti thin aflak ki jaanib

    ab ye andar bhi nahin khultin agar sans ghuTe

    abr-alud hain ab

    aur hawaon mein bhi suraKH paDe hain

    mera paidaeshi ghar hai mujhe rahna hai yahin par

    ek maila sa falak hai to mere sar pe abhi tak

    Darta hun gir na paDe sote mein ek roz kahin

    Source:

    Chand Pukhraj Ka (Pg. 36)

    • Author: Gulzar
      • Edition: 1995
      • Publisher: Roopa And Company
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now