Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maKHzan

Naseer Parwaz

maKHzan

Naseer Parwaz

MORE BYNaseer Parwaz

    safar merā muqaddar thā safar merā muqaddar hai

    añdheroñ jabīñ par maiñ ne chhoḌe naqsh-e-pā apne

    maiñ dariyā huuñ

    janam mujh ko diyā hai barf-poshī sard rātoñ ne

    likhā hai mere safhoñ par

    ki jab maiñ qatra qatra joḌ kar mauj-e-yaqīñ pairahan pahnūñ

    to sab anjān samteñ merī muTThī meñ simaT aa.eñ

    jo parbat baap hai merā

    taras jaa.e mujhe bāhoñ meñ bharne ko

    ye ūñchā āsmāñ jhuk kar kabhī mere qadam chūme

    safar merā muqaddar hai

    safar merā azal merā abad merā yaqīñ bhī hai

    mire qadmoñ ġham karb-e-zamīñ bhī hai

    samundar rāsta merā

    musalsal mujh ko chalnā hai

    musalsal barf sūrat pighalnā hai

    agar maiñ baiTh jā.ūñ raah meñ thak kar

    to ye pyāse ujāle mujh ko jaa.eñ

    agar maiñ dasht ban jaatā

    agar sahrā bāñhoñ meñ bikhar jaatā

    samundar kaise kahlātā

    havā.eñ sochtīñ mujh ko

    agar sho.ale harārat mujh meñ bhar dete

    maiñ dariyā huuñ safar merā muqaddar hai

    mujhe ruknā nahīñ hai sirf chalnā hai

    chalo achchhā huā tum ne mujhe aañsū banā Daalā

    ki maiñ ne aaj ḳhud ko ek aañsū tarah bahte

    tumhārī Dūbtī āñkhoñ meñ dekhā hai

    maiñ dariyā huuñ

    yahī aañsū virāsat meñ milā mujh ko

    mujhe lagtā hai kuchh aisā

    maiñ parbat se nahīñ shāyad samundar se niklā huuñ

    safar mera muqaddar tha safar mera muqaddar hai

    andheron ki jabin par main ne chhoDe naqsh-e-pa apne

    main dariya hun

    janam mujh ko diya hai barf-poshi sard raaton ne

    likha hai mere safhon par

    ki jab main qatra qatra joD kar mauj-e-yaqin ka pairahan pahnun

    to sab anjaan samten meri muTThi mein simaT aaen

    jo parbat bap hai mera

    taras jae mujhe bahon mein bharne ko

    ye uncha aasman jhuk kar kabhi mere qadam chume

    safar mera muqaddar hai

    safar mera azal mera abad mera yaqin bhi hai

    mere qadmon ka gham karb-e-zamin bhi hai

    samundar rasta mera

    musalsal mujh ko chalna hai

    musalsal barf ki surat pighalna hai

    agar main baiTh jaun rah mein thak kar

    to ye pyase ujale mujh ko pi jaen

    agar main dasht ban jata

    agar sahra ki banhon mein bikhar jata

    samundar kaise kahlata

    hawaen sochtin mujh ko

    agar shoale hararat mujh mein bhar dete

    main dariya hun safar mera muqaddar hai

    mujhe rukna nahin hai sirf chalna hai

    chalo achchha hua tum ne mujhe aansu bana Dala

    ki main ne aaj KHud ko ek aansu ki tarah bahte

    tumhaari Dubti aankhon mein dekha hai

    main dariya hun

    yahi aansu wirasat mein mila mujh ko

    mujhe lagta hai kuchh aisa

    main parbat se nahin shayad samundar se hi nikla hun

    Source:

    Iztarab Lafzon Ka (Pg. 46)

    • Author: Naseer Parwaz
      • Publisher: Naseer Parwaz
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now