mallah ka dil
kisī ne nahīñ dekhā
mallāh kā dil
yahāñ tak ki shaam aa ga.ī
vo gir paḌā
ek ūñche mastūl se
kabhī na uThne ke liye
kisī ne nahīñ dekhā
mallāh kā dil
jab vo pheñk diyā gayā
patthar kī tarah
gahre paanī meñ
kisī ne nahīñ dekhā
mallāh kā dil
aur us meñ soī huī ek laḌkī ko
kisī ne nahīñ dekhā
kisi ne nahin dekha
mallah ka dil
yahan tak ki sham aa gai
wo gir paDa
ek unche mastul se
kabhi na uThne ke liye
kisi ne nahin dekha
mallah ka dil
jab wo phenk diya gaya
patthar ki tarah
gahre pani mein
kisi ne nahin dekha
mallah ka dil
aur us mein soi hui ek laDki ko
kisi ne nahin dekha
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 111)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.