Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manTo

MORE BYKiran Kashmeeri

    Daalī Daalī hai yaas mausam

    ahl-e-urdu chashm pur-nam hai

    nabz-e-getī ravāñ hai ruk ruk kar

    kitnā ḳhamosh saarā aalam hai

    krishn bedī asar kiran Thākur

    be-tahāsha ro diye haiñ aaj

    jaise har ik ne apne sarmā.e

    bahr-e-ġham meñ Dubo diye haiñ aaj

    sīna-e-arz meñ shigāf huā

    lau charāġhoñ kyoñ bhaTaktī hai

    sū-e-madfan pe kaun aatā hai

    chashm-e-hairāñ se qabr taktī hai

    haar TuuTā urūs-e-hastī

    nausha-e-zindagī kahāñ hai aaj

    vo ki bām-e-adab zīnat thā

    vo daraḳhshāñ qamar kahāñ hai aaj

    ek jarrāh thā ki jo na rahā

    vo ki nashtar thā qalam jis

    saaz urdu kaun chheḌegā

    jis manTo ek mutrib thā

    Dali Dali hai yas ka mausam

    ahl-e-urdu ki chashm pur-nam hai

    nabz-e-geti rawan hai ruk ruk kar

    kitna KHamosh sara aalam hai

    krishn bedi asar kiran Thakur

    be-tahasha hi ro diye hain aaj

    jaise har ek ne apne sarmae

    bahr-e-gham mein Dubo diye hain aaj

    sina-e-arz mein shigaf hua

    lau charaghon ki kyon bhaTakti hai

    su-e-madfan pe kaun aata hai

    chashm-e-hairan se qabr takti hai

    haar TuTa urus-e-hasti ka

    nausha-e-zindagi kahan hai aaj

    wo ki baam-e-adab ki zinat tha

    wo daraKHshan qamar kahan hai aaj

    ek jarrah tha ki jo na raha

    wo ki nashtar hi tha qalam jis ka

    saz urdu ka kaun chheDega

    jis ka manTo hi ek mutrib tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now