manzil
us ne kahā ki dil meñ jagah dījiye huzūr
maiñ ne kahā makān mayassar nahīñ hai kyā
us ne kahā ki aap ko dil de chukā huuñ maiñ
maiñ ne kahā ki jism ko dil ek chāhiye
us ne kahā ki dil meñ ravāñ haiñ mohabbateñ
maiñ ne kahā ki dil meñ ravānī hai ḳhuun kī
us ne kahā ki raah tire dil se dil ko hai
maiñ ne kahā ki raah to shiryān dil kī hai
us ne kahā ki dil ke qarīb aane dījiye
maiñ ne kahā qarīb zarā rab ke jā.iye
us ne kahā ki aaj to maiñ lā-javāb huuñ
maiñ ne kahā ki 'ishq-e-haqīqī javāb hai
us ne kahā ki rab to mire dil meñ hai basā
maiñ ne kahā ki phir to kisī ko na dil meñ lā
us ne bhī 'ishq-e-kul kī haqīqat ko pā liyā
maiñ ne jo khul ke 'ishq-e-haqīqī bayāñ kiyā
donoñ hī manziloñ ke nishāñ tak pahuñch ga.e
us ne kaha ki dil mein jagah dijiye huzur
main ne kaha makan mayassar nahin hai kya
us ne kaha ki aap ko dil de chuka hun main
main ne kaha ki jism ko dil ek chahiye
us ne kaha ki dil mein rawan hain mohabbaten
main ne kaha ki dil mein rawani hai KHun ki
us ne kaha ki rah tere dil se dil ko hai
main ne kaha ki rah to shiryan dil ki hai
us ne kaha ki dil ke qarib aane dijiye
main ne kaha qarib zara rab ke jaiye
us ne kaha ki aaj to main la-jawab hun
main ne kaha ki 'ishq-e-haqiqi jawab hai
us ne kaha ki rab to mere dil mein hai basa
main ne kaha ki phir to kisi ko na dil mein la
us ne bhi 'ishq-e-kul ki haqiqat ko pa liya
main ne jo khul ke 'ishq-e-haqiqi bayan kiya
donon hi manzilon ke nishan tak pahunch gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.