Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marsiya-e-tagore

Narayan Das Puri

marsiya-e-tagore

Narayan Das Puri

MORE BYNarayan Das Puri

    tagore jin guloñ meñ hai ab shumār terā

    muddat se un guloñ ko thā intizār terā

    lekin payām-e-furqat afsos jab se aaya

    ik ālam-e-tafakkur hindostāñ pe chhāyā

    is ke dil-e-hazīñ thā habīb baaqī

    ik rah gayā thā is mai-kade saaqī

    TuuTī ek miinā ab tujh ko ro rahī hai

    ro ro ke muñh vo apnā ashkoñ se dho rahī hai

    mulk-e-suḳhan tujh farmāñ-ravā na dekhā

    duniyā-e-shā.irī tujh ḳhudā na dekhā

    DhūñDā kareñgī tujh ko hasrat bharī nigāheñ

    jā.eñgī saath tere is desh duā.eñ

    kuchh bebasī aalam gar ai ḳhudā na hotā

    tagore is tarah se ham se judā na hotā

    tagore jin gulon mein hai ab shumar tera

    muddat se un gulon ko tha intizar tera

    lekin payam-e-furqat afsos jab se aaya

    ek aalam-e-tafakkur hindostan pe chhaya

    is ke dil-e-hazin ka tha tu habib baqi

    ek tu hi rah gaya tha is mai-kade ka saqi

    TuTi si ek mina ab tujh ko ro rahi hai

    ro ro ke munh wo apna ashkon se dho rahi hai

    mulk-e-suKHan ka tujh sa farman-rawa na dekha

    duniya-e-shairi ka tujh sa KHuda na dekha

    DhunDa karengi tujh ko hasrat bhari nigahen

    jaengi sath tere is desh ki duaen

    kuchh bebasi ka aalam gar ai KHuda na hota

    tagore is tarah se hum se juda na hota

    Source:

    Kanwal (Pg. 66)

    • Author: Narayan Das Puri
      • Publisher: Central Book Depot Jama Masjid, Delhi
      • Year of Publication: 1963

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now