Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marsiya hazrat-e-beKHud dehlawi

Prem Lal Shifa Dehlvi

marsiya hazrat-e-beKHud dehlawi

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    ghir ke kyoñ aa.e haiñ yuuñ ranj-o-alam

    shaam ye kyoñ ban ga.ī hai shām-e-ġham

    rahā hai kaun ye oḌhe kafan

    ro rahe haiñ kis ko sab ahl-e-suḳhan

    haal hai abtar suḳhan ke baaġh

    daaġh hai ye jānashīn-e-'dāġh'

    ho ga.ī hai aaj urdu kyoñ udaas

    mātamī hai kis liye is libās

    kaun hogā is zabāñ pāsbāñ

    kaun ab bolegā dillī zabāñ

    sher sun kar kis hoñge shād-kām

    kaun samjhā.egā lafzoñ maqām

    ḳhāmiyoñ par kis ko ġhussa aa.egā

    kaun mohmal lafz par jhallā.egā

    ik sadī ke inqilāboñ bayāñ

    kaun dohrā.egā ab vo dāstāñ

    be-ḳhudī to saath 'beḳhud' ke ga.ī

    rah ga.ī hai hosh fitnagarī

    qaum par hotā hai ik saaya adiib

    mulk hotā hai sarmāya adiib

    ḳhidmat-e-sher-o-adab kartā hai vo

    maut aane se nahīñ martā hai vo

    kaun kahtā hai ki 'beḳhud' mar ga.e

    naam lā-fānī vo paidā kar ga.e

    thak ga.e the umr bhar ke kaam se

    so rahe haiñ qabr meñ ārām se

    ghir ke kyon aae hain yun ranj-o-alam

    sham ye kyon ban gai hai sham-e-gham

    ja raha hai kaun ye oDhe kafan

    ro rahe hain kis ko sab ahl-e-suKHan

    haal hai abtar suKHan ke bagh ka

    dagh hai ye jaanashin-e-'dagh' ka

    ho gai hai aaj urdu kyon udas

    matami hai kis liye is ka libas

    kaun hoga is zaban ka pasban

    kaun ab bolega dilli ki zaban

    sher sun kar kis ka honge shad-kaam

    kaun samjhaega lafzon ka maqam

    KHamiyon par kis ko ghussa aaega

    kaun mohmal lafz par jhallaega

    ek sadi ke inqilabon ka bayan

    kaun dohraega ab wo dastan

    be-KHudi to sath 'beKHud' ke gai

    rah gai hai hosh ki fitnagari

    qaum par hota hai ek saya adib

    mulk ka hota hai sarmaya adib

    KHidmat-e-sher-o-adab karta hai wo

    maut aane se nahin marta hai wo

    kaun kahta hai ki 'beKHud' mar gae

    nam la-fani wo paida kar gae

    thak gae the umr bhar ke kaam se

    so rahe hain qabr mein aaram se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now