Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masafaton ke sarab ka alamiya

Mumtaz Malik

masafaton ke sarab ka alamiya

Mumtaz Malik

MORE BYMumtaz Malik

    dard ke shahr se

    jab chale qāfile

    ibtilāoñ pūñjī sameTe hue

    hasratoñ ke nagīne damakte the talvār palkoñ pe

    zaḳhmoñ ke gulzār the dil ke āñgan meñ

    aur mish.aleñ zehn meñ jal rahī thiiñ ka.ī

    kuchh alaav ki āñkhoñ meñ jalte rahe aur bujhte rahe

    āgahī jo tazabzub daldal meñ thī dam-ba-ḳhud

    shauq haath pakḌe nikal aa.ī thī kāmrāñ

    paañv meñ aable

    zehn meñ bijliyāñ

    jab rukī ḳhuuñ bārish havāoñ ke pur-haul sho.ale bhī maddham hue aur dhueñ kasāfat chhaTī

    tab kahīñ

    sukh ke gaañv pe nazroñ kirneñ paḌīñ

    jis meñ tamkīn-e-ġham azm rif.atoñ se gale mil ke ta.amīr-e-āsūdgī kar rahī thī

    dard ke chāñd chamke to socheñ jilā ga.iiñ

    dil ke zaḳhmoñ ne jazboñ ke phūloñ ko ik lazzat-e-tāzgī

    to ham

    apnī saarī thakan kulfateñ bhuul kar shaam hone se pahle

    surḳh-rū ārzūoñ ke sehre sajā.e

    ghar ke āñgan meñ pahuñche to maañ nigāhoñ se shafqat āyāt kirnoñ sūrat utarne lagī thiiñ

    ham ne maañ ke qadam chuum kar ḳhud ko paayā

    to ik ālam-e-nau janam le rahā thā

    jahāñ sāñvle mausamoñ salonī rutoñ bashārat thī

    raushan khilī dhuup thī aur taaza havā.eñ na.ī fasl-e-gul payambar banī thiiñ

    ki phir chand logoñ ne

    maañ ridā noch kar muñh pe sūraj ke maarī

    to maañ ne baḌe karb se ham ko dekhā

    magar ham ki jo garm ḳhuuñ ke bhī vāris the sach gavāhī the aur hurmatoñ ke amiiñ the

    ajab taur se sar-nigūñ aur sākit khaḌe the

    ḳhudā jaane kyā sochte the

    dard ke shahr se

    jab chale qafile

    ibtilaon ki punji sameTe hue

    hasraton ke nagine damakte the talwar palkon pe

    zaKHmon ke gulzar the dil ke aangan mein

    aur mishalen zehn mein jal rahi thin kai

    kuchh alaw ki aankhon mein jalte rahe aur bujhte rahe

    aagahi jo tazabzub ki daldal mein thi dam-ba-KHud

    shauq ka hath pakDe nikal aai thi kaamran

    panw mein aable

    zehn mein bijliyan

    jab ruki KHun ki barish hawaon ke pur-haul shoale bhi maddham hue aur dhuen ki kasafat chhaTi

    tab kahin

    sukh ke ganw pe nazron ki kirnen paDin

    jis mein tamkin-e-gham azm ki rifaton se gale mil ke tamir-e-asudgi kar rahi thi

    dard ke chand chamke to sochen jila pa gain

    dil ke zaKHmon ne jazbon ke phulon ko ek lazzat-e-tazgi di

    to hum

    apni sari thakan kulfaten bhul kar sham hone se pahle

    surKH-ru aarzuon ke sehre sajae

    ghar ke aangan mein pahunche to man ki nigahon se shafqat ki aayat kirnon ki surat utarne lagi thin

    hum ne man ke qadam chum kar KHud ko paya

    to ek aalam-e-nau janam le raha tha

    jahan sanwle mausamon ki saloni ruton ki bashaarat thi

    raushan khili dhup thi aur taza hawaen nai fasl-e-gul ki payambar bani thin

    ki phir chand logon ne

    man ki rida noch kar munh pe suraj ke mari

    to man ne baDe karb se hum ko dekha

    magar hum ki jo garm KHun ke bhi waris the sach ki gawahi the aur hurmaton ke amin the

    ajab taur se sar-nigun aur sakit khaDe the

    KHuda jaane kya sochte the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now