Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauhum afsane

Jan Nisar Akhtar

mauhum afsane

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    vo afsāne kiyā hai chāñd tāroñ safar jin meñ

    ye duniyā ek dhundlī geñd aatī hai nazar jin meñ

    vo jin meñ mulk-e-barq-o-bād tak tasḳhīr hotā hai

    jahāñ ik shab meñ sone mahal tāmīr hotā hai

    achhūte-sāhiloñ ke vo sahar-ālūd vīrāne

    tilismī-qasr meñ gumnām shahzādī ke afsāne

    vo afsāne jo rāteñ chāñd ke barbat pe gaatī haiñ

    vo afsāne jo sub.heñ ruuh ke andar jagātī haiñ

    fazā kartī hai jin mauhūm afsānoñ tāmīreñ

    bhaTakte abr meñ jin milīñ mub.ham tasvīreñ

    sar-e-sāhil jo bahtī sham.a lau gungunātī hai

    dimāġh o dil meñ jin se ik kiran dauḌ jaatī hai

    vo afsāne jo dil ko be-kahe mahsūs hote haiñ

    jo hoñToñ hasīñ gulnār mehrāboñ meñ sote haiñ

    kisī nargis-e-sharsār ke mub.ham se afsāne

    kisī zulf-e-ambar-bār ke barham se afsāne

    vo jin ko is tarah kuchh jumbish-e-mizhgāñ sunātī hai

    ki jaise ḳhvāb meñ bhūlī huī ik yaad aatī hai

    rahā huuñ gum inhī mauhūm afsānoñ bastī meñ

    inhī dilkash magar gumnām rūmānoñ bastī meñ

    kisī ne toḌ Daalā ye tilism-e-kaif-o-ḳhvāb āḳhir

    mirī āñkhoñ ke aage aa.e shamshīr o shabāb āḳhir

    wo afsane kiya hai chand taron ka safar jin mein

    ye duniya ek dhundli gend aati hai nazar jin mein

    wo jin mein mulk-e-barq-o-baad tak tasKHir hota hai

    jahan ek shab mein sone ka mahal tamir hota hai

    achhute-sahilon ke wo sahar-alud virane

    tilismi-qasr mein gumnam shahzadi ke afsane

    wo afsane jo raaten chand ke barbat pe gati hain

    wo afsane jo subhen ruh ke andar jagati hain

    faza karti hai jin mauhum afsanon ki tamiren

    bhaTakte abr mein jin ki milin mubham si taswiren

    sar-e-sahil jo bahti shama ki lau gungunati hai

    dimagh o dil mein jin se ek kiran si dauD jati hai

    wo afsane jo dil ko be-kahe mahsus hote hain

    jo honTon ki hasin gulnar mehrabon mein sote hain

    kisi ki nargis-e-sharsar ke mubham se afsane

    kisi ki zulf-e-ambar-bar ke barham se afsane

    wo jin ko is tarah kuchh jumbish-e-mizhgan sunati hai

    ki jaise KHwab mein bhuli hui ek yaad aati hai

    raha hun gum inhi mauhum afsanon ki basti mein

    inhi dilkash magar gumnam rumanon ki basti mein

    kisi ne toD Dala ye tilism-e-kaif-o-KHwab aaKHir

    meri aankhon ke aage aae shamshir o shabab aaKHir

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mauhum afsane Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now