Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maulana abul-kalam ka janaza dekh kar

Prem Lal Shifa Dehlvi

maulana abul-kalam ka janaza dekh kar

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    kis ko le kar rahe haiñ aaj yuuñ nauha-kunāñ

    ro rahe haiñ aaj kis ko mulk ke pīr-o-javāñ

    sar-nigūñ kis ke liye hai hind qaumī nishāñ

    na.ash se lipTā hai kis parcham-e-hindostāñ

    kis liye hai aaj sīna-chāk dillī zamīñ

    hind ye dil banegā kis amānat amiiñ

    vo imām-ul-hind vo mard-e-ḳhudā ruḳhsat huā

    jang-e-āzādī apnī peshvā ruḳhsat huā

    rahnumāoñ hamāre rahnumā ruḳhsat huā

    dil pe kartī thī asar jis sadā ruḳhsat huā

    saat din pahle bhī thā taqrīr meñ kitnā asar

    tūtī-e-hindostāñ ko khā ga.ī kis nazar

    ye zamīn-e-hind hai is meñ bahut hoñge adiib

    is miTTī meñ mohabbat hai bahut hoñge habīb

    gā.eñge hubb-e-vatan ke raag lākhoñ andalīb

    aur mil jā.eñge amrāz-e-siyāsat ke tabīb

    ek hastī meñ tamām ausāf kyūñkar pā.eñge

    ab kahāñ se bul-kalām-āzād jaisā lā.eñge

    zindagī meñ marne vaale koī paiġhām hai

    be-ġharaz be-laus ḳhidmat salā-e-ām hai

    nekiyoñ āqibat meñ nek anjām hai

    hai yahī insāniyat baaqī ḳhudā naam hai

    ai 'shifā' insān vo hai jo ho mar kar nek-nām

    zindagī meñ to sabhī rakhte haiñ ḳhud ko shād-kām

    kis ko le kar ja rahe hain aaj yun nauha-kunan

    ro rahe hain aaj kis ko mulk ke pir-o-jawan

    sar-nigun kis ke liye hai hind ka qaumi nishan

    nash se lipTa hai kis ki parcham-e-hindostan

    kis liye hai aaj sina-chaak dilli ki zamin

    hind ka ye dil banega kis amanat ka amin

    wo imam-ul-hind wo mard-e-KHuda ruKHsat hua

    jang-e-azadi ka apni peshwa ruKHsat hua

    rahnumaon ka hamare rahnuma ruKHsat hua

    dil pe karti thi asar jis ki sada ruKHsat hua

    sat din pahle bhi tha taqrir mein kitna asar

    tuti-e-hindostan ko kha gai kis ki nazar

    ye zamin-e-hind hai is mein bahut honge adib

    is ki miTTi mein mohabbat hai bahut honge habib

    gaenge hubb-e-watan ke rag lakhon andalib

    aur mil jaenge amraaz-e-siyasat ke tabib

    ek hasti mein tamam ausaf kyunkar paenge

    ab kahan se bul-kalam-azad jaisa laenge

    zindagi mein marne wale ki koi paigham hai

    be-gharaz be-laus KHidmat ki sala-e-am hai

    nekiyon ka aaqibat mein nek hi anjam hai

    hai yahi insaniyat baqi KHuda ka nam hai

    ai 'shifa' insan wo hai jo ho mar kar nek-nam

    zindagi mein to sabhi rakhte hain KHud ko shad-kaam

    Source:

    Nuskha-e-Shifa (Pg. 217)

    • Author: Prem Lal Shifa Dehlvi
      • Publisher: Prem Lal Shifa Dehlvi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now