Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam

Balraj Komal

mausam

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    asīr-e-ārzū hujūm-e-be-amāñ

    sharāb roz-o-shab ātish-ravāñ meñ

    barhamī ke qahqahoñ bāzgasht

    ab hamāre darmiyāñ

    ajiib ḳhvāhishoñ ke biij bo rahī hai

    mere vāste jo ajnabī hai

    us ko paas se guzartā dekh luuñ to us raushnī

    ko noch luuñ

    jo us ke ḳhuun meñ utar rahī hai

    us ke ek pal ko dūsre se joḌtī hai

    tairtī hai saañs meñ

    havā vo sharīr mauj chhīn luuñ

    vo jānvar hamārī nasl nahīñ

    vo kyuuñ hañse vo kyuuñ jiye

    hamāre rū-ba-rū hamārī aarzū ke rū-ba-rū

    vo is zamīñ pe kyuuñ chale

    ajiib ḳhvāhisheñ ajab ḳhvāhishoñ ham-safar

    har ek aa.ina magar hai dūsre ke sāmne

    ġhalīz sūrateñ ġhalīz sūratoñ ke sāmne

    maiñ ajnabī vo ajnabī

    asiir aarzū bhī magar siyāh dil dil be-ḳhabar

    vo dā.era ravāñ hai jis ke har safar intihā

    maqām-e-marg-e-tāzgī maqām-e-marg-e-naġhmagī

    havā namī safed dhuup zard phuul dekhte dekhte guzar ga.e

    hamārī aarzū ke biich mausamoñ pe chhā ga.e

    asir-e-arzu hujum-e-be-aman

    sharab roz-o-shab ki aatish-rawan mein

    barhami ke qahqahon ki bazgasht

    ab hamare darmiyan

    ajib KHwahishon ke bij bo rahi hai

    mere waste jo ajnabi hai

    us ko pas se guzarta dekh lun to us ki raushni

    ko noch lun

    jo us ke KHun mein utar rahi hai

    us ke ek pal ko dusre se joDti hai

    tairti hai sans mein

    hawa ki wo sharir mauj chhin lun

    wo jaanwar hamari nasl ka nahin

    wo kyun hanse wo kyun jiye

    hamare ru-ba-ru hamari aarzu ke ru-ba-ru

    wo is zamin pe kyun chale

    ajib KHwahishen ajab KHwahishon ki ham-safar

    har ek aaina magar hai dusre ke samne

    ghaliz suraten ghaliz suraton ke samne

    main ajnabi wo ajnabi

    asir aarzu bhi magar siyah ka dil dil be-KHabar

    wo daera rawan hai jis ke har safar ki intiha

    maqam-e-marg-e-tazgi maqam-e-marg-e-naghmagi

    hawa nami safed dhup zard phul dekhte hi dekhte guzar gae

    hamari aarzu ke bich mausamon pe chha gae

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 14)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now