Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut

MORE BYFarooq Nazki

    ajiib lamha hai

    maut bhī

    na ḳhauf sāthī

    na aas hamdam

    ajiib shai hai ye aadmī bhī

    jo maut ke Dar se kāñptā hai

    jo aas Dor thāmtā hai

    use ḳhabar hai ki maut kyā hai

    magar vo phir bhī

    fasīl-e-bīm-o-rajā qaidī

    ḳhud apnī karnī se bhāgtā hai

    use ḳhabar hai ki maut jiine aasrā hai

    use ḳhabar hai

    ajiib lamha hai maut bhī

    na aas hamdam

    na ḳhauf sāthī

    ajib lamha hai

    maut ka bhi

    na KHauf sathi

    na aas hamdam

    ajib shai hai ye aadmi bhi

    jo maut ke Dar se kanpta hai

    jo aas ki Dor thamta hai

    use KHabar hai ki maut kya hai

    magar wo phir bhi

    fasil-e-bim-o-raja ka qaidi

    KHud apni karni se bhagta hai

    use KHabar hai ki maut jine ka aasra hai

    use KHabar hai

    ajib lamha hai maut ka bhi

    na aas hamdam

    na KHauf sathi

    Source:

    Lafz lafz Nauha (Pg. 156)

    • Author: Farooq Nazki
      • Edition: 1984
      • Publisher: Tabish Publication Srinagar Kashmeer
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now