Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ka sal

Qamar Jahan Naseer

maut ka sal

Qamar Jahan Naseer

MORE BYQamar Jahan Naseer

    Interesting Fact

    (کووڈ-19 سے پھیلی دہشت کے عالم میں)

    ye ahd-e-nau chalan hai ye shauq tumhārā azalī hai

    tum calender tārīḳhoñ ko

    kisī aur naam se jānte ho

    yaañ jazbe rishte fikr aur fard ayyām se haiñ mansūb sabhī

    kabhī darmāñ karnā chāhā kuchh amrāz de kar din ḳhirāj

    jangeñ bhī tumhārī ījād

    aur yaum-e-aman Dhoñg bhī tum

    tum vo jo sūrat-e-qahr gire

    is rū-e-zamīñ ke shahroñ par

    phir un shahroñ ke naam se din mansūb bhī karne vaale tum

    haañ bhuul ga.e us hastī ko

    maḳhsūs koī bhī yaum nahīñ hai us ke jashn-e-charāġhāñ ko

    ho jis siyah-zulfoñ ke asiir avval din se

    kyā kyā nahīñ hiile tum ne kiye

    merī talab unglī thāme atom bam ījād kiyā

    kabhī zer-e-zamīñ rāh-e-ātish hamvār kiyā

    kabhī dekhā chashm-e-falak ne manzar jab

    tum thaam ke bāheñ merī the masrūr bahut

    ik ahd-e-hajar se masnūī fatānat tak

    jab bhī koī ḳhūñ-āshām sadā Takrā.ī mere kānoñ se

    maiñ pair meñ ghuñghrū bāñdh uThī

    inkār kiyā tum ne jab mere jashn-e-charāġhāñ

    maiñ ne ik saal mukammal apne naam kiyā

    lekin tum ne

    harf-e-ġhalat naam diyā

    chāhā ki kar do mahv mujhe is rū-e-zamīñ ke safhe se

    sāl-e-nau is ujlī tābinda fazā meñ

    faisla apne haath meñ lo

    merī parastish band karo

    mere naam ik jaam karo

    chērs kaho

    ye saal bhī mere naam karo

    ye ahd-e-nau ka chalan hai ya ye shauq tumhaara azali hai

    tum calender tariKHon ko

    kisi aur hi nam se jaante ho

    yan jazbe rishte fikr aur fard ayyam se hain mansub sabhi

    kabhi darman karna chaha kuchh amraaz ka de kar din ka KHiraj

    jangen bhi tumhaari hi ijad

    aur yaum-e-aman ka Dhong bhi tum

    tum wo jo surat-e-qahr gire

    is ru-e-zamin ke shahron par

    phir un shahron ke nam se din mansub bhi karne wale tum

    han bhul gae us hasti ko

    maKHsus koi bhi yaum nahin hai us ke jashn-e-charaghan ko

    ho jis ki siyah-zulfon ke asir awwal din se

    kya kya nahin hile tum ne kiye

    meri hi talab ki ungli thame atom bam ijad kiya

    kabhi zer-e-zamin rah-e-atish hamwar kiya

    kabhi dekha chashm-e-falak ne manzar jab

    tum tham ke bahen meri the masrur bahut

    ek ahd-e-hajar se masnui fatanat tak

    jab bhi koi KHun-asham sada Takrai mere kanon se

    main pair mein ghunghru bandh uThi

    inkar kiya tum ne jab mere jashn-e-charaghan ka

    main ne ek sal mukammal apne nam kiya

    lekin tum ne

    harf-e-ghalat ka nam diya

    chaha ki kar do mahw mujhe is ru-e-zamin ke safhe se

    sal-e-nau ki is ujli tabinda faza mein

    faisla apne hath mein lo

    ya meri parastish band karo

    ya mere nam ek jam karo

    cheers kaho

    ye sal bhi mere nam karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now