maut ki imdad
kitne achchhe haiñ mere colony vaale
ghar meñ mere maut na hotī to maiñ to anjān hī rahtā
un chehroñ se
un logoñ se
fajr talak jo saath rahe mere us shab meñ
dafnāne ke baa'd ke us pahle luqme tak
kitne gharoñ ke chaa.e ke bartan
paḌe rahe tiije ke din tak mere ghar meñ
mujhe nahīñ mā'lūm kafan kis ke zimme thā
kaun sā bachcha berī kī Tahnī laayā thā
sab apne the
sab mere the
sab achchhe the
andhā thā maiñ aaj talak pahchān na paayā
in apnoñ ko
kitne achchhe hain mere colony wale
ghar mein mere maut na hoti to main to anjaan hi rahta
un chehron se
un logon se
fajr talak jo sath rahe mere us shab mein
dafnane ke ba'd ke us pahle luqme tak
kitne gharon ke chae ke bartan
paDe rahe tije ke din tak mere ghar mein
mujhe nahin ma'lum kafan kis ke zimme tha
kaun sa bachcha beri ki Tahni laya tha
sab apne the
sab mere the
sab achchhe the
andha tha main aaj talak pahchan na paya
in apnon ko
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 124)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.