kutte ne āñkheñ kholī
lambī zabān se
saare badan ko pyaar kiyā
ik ik zaḳhm shumār kiyā
kaan maroḌe
dum faTkārī
karvaT badlī
ik behāl sī 'aurat ko
pahlū meñ sote dekhā
idhar-udhar se sūñghā
phir sūñghā
phir Taañg uThā.ī
aur muutā
phir khaaT se kuudā
aur kholī se bhaag gayā
kutte ne aankhen kholi
lambi zaban se
sare badan ko pyar kiya
ek ek zaKHm shumar kiya
kan maroDe
dum faTkari
karwaT badli
ek behaal si 'aurat ko
pahlu mein sote dekha
idhar-udhar se sungha
phir sungha
phir Tang uThai
aur muta
phir khaT se kuda
aur kholi se bhag gaya
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 170)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.