Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera janam din

Baqar Mehdi

mera janam din

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    zehn pe ik ghaTā chhā.ī hai

    lafzoñ an-jānī būñdeñ baras rahī haiñ

    koī ma.anī shāyad nikleñ?

    zaḳhmī taa.ir mere qalam se lipaT gayā

    aur us ke pahlū meñ ik nanhā tiir hai

    tiir meñ ik kāġhaz bhī hai

    ab ke mere janm-din par

    kis ne mujh ko yaad kiyā hai?

    maiñ ne kāġhaz khol ke dekhā

    kuchh bhī na thā

    sirf TuuTī TuuTī chand lakīreñ thiiñ

    aise ḳhat aate rahte haiñ

    naam nahīñ hotā jin par

    baat nahīñ bantī lekin

    baat banegī kaise?

    jab pahlū meñ ḳhaar lagā ho

    āñkhoñ meñ nam aa bhī chukā ho

    janam janam ke saude meñ tum

    sab se aage nikal ga.e ho

    saare sāthī chhūT ga.e

    ġham ke chhāle phuuT ga.e

    jiine ummīd nahīñ hai

    phir bhī tum ab tak jiite ho

    umr tumhārī maut se aage nikal ga.ī hai

    sannāTe meñ jiinā kitnā mushkil hai

    ḳhvāhish ke sadme bhī nahīñ haiñ

    zehn pe ek ghaTa si chhai hai

    lafzon ki an-jaani bunden baras rahi hain

    koi mani shayad niklen?

    zaKHmi tair mere qalam se lipaT gaya

    aur us ke pahlu mein ek nanha sa tir hai

    tir mein ek kaghaz bhi hai

    ab ke mere janm-din par

    kis ne mujh ko yaad kiya hai?

    main ne kaghaz khol ke dekha

    kuchh bhi na tha

    sirf TuTi TuTi chand lakiren thin

    aise KHat aate rahte hain

    nam nahin hota jin par

    baat nahin banti lekin

    baat banegi kaise?

    jab pahlu mein KHar laga ho

    aankhon mein nam aa bhi chuka ho

    janam janam ke saude mein tum

    sab se aage nikal gae ho

    sare sathi chhuT gae

    gham ke chhaale phuT gae

    jine ki ummid nahin hai

    phir bhi tum ab tak jite ho

    umr tumhaari maut se aage nikal gai hai

    sannaTe mein jina kitna mushkil hai

    KHwahish ke sadme bhi nahin hain

    Source:

    shab khuun (rekhta website)(291) (Pg. 12)

      • Edition: 2005
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now