Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera watan hindostan

Rifat Sarosh

mera watan hindostan

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    merā vatan hindostāñ har raah jis kahkashāñ

    koh-e-girāñ se kam nahīñ jis ke jiyāle naujavāñ

    ye vīr-o-gautam zamīñ amn-o-ahinsā chaman

    akbar ke ḳhvāboñ jahāñ chishtī-o-nānak vatan

    sham.eñ hazāroñ haiñ magar hai ektā anjuman

    tahzīb gahvāra haiñ gañg-o-jaman vādiyāñ

    merā vatan hindostāñ

    tārīḳh azmat hai ye jamhūriyat shaan hai

    rūhāniyat ruuh hai sab maz.haboñ jaan hai

    ye apnā hindostān hai ye apnā hindostān hai

    hāsil yahāñ insān ko har tarah āzādiyāñ

    merā vatan hindostāñ

    jab dil se dil milte ga.e miTte ga.e sab fāsle

    ye aaj naġhma nahīñ sadiyoñ ke haiñ ye silsile

    sadiyoñ se mil kar baḌhe sab ahl-e-dil ke qāfile

    ik saath uThtī hai yahāñ āvāz-e-nāqūs-o-azāñ

    merā vatan hindostāñ

    tārīḳh ke is moḌ par ham farz se ġhāfil nahīñ

    qaabū na jis par sakeñ aisī koī mushkil nahīñ

    jis ko na ham sar kar sakeñ aisī koī manzil nahīñ

    haañ bāñkpan shaan se hai kārvāñ apnā ravāñ

    merā vatan hindostāñ

    mera watan hindostan har rah jis ki kahkashan

    koh-e-giran se kam nahin jis ke jiyale naujawan

    ye wir-o-gautam ki zamin amn-o-ahinsa ka chaman

    akbar ke KHwabon ka jahan chishti-o-nanak ka watan

    shamen hazaron hain magar hai ekta ki anjuman

    tahzib ka gahwara hain gang-o-jaman ki wadiyan

    mera watan hindostan

    tariKH ki azmat hai ye jamhuriyat ki shan hai

    ruhaniyat ki ruh hai sab mazhabon ki jaan hai

    ye apna hindostan hai ye apna hindostan hai

    hasil yahan insan ko har tarah ki aazadiyan

    mera watan hindostan

    jab dil se dil milte gae miTte gae sab fasle

    ye aaj ka naghma nahin sadiyon ke hain ye silsile

    sadiyon se mil kar hi baDhe sab ahl-e-dil ke qafile

    ek sath uThti hai yahan aawaz-e-naqus-o-azan

    mera watan hindostan

    tariKH ke is moD par hum farz se ghafil nahin

    qabu na jis par pa saken aisi koi mushkil nahin

    jis ko na hum sar kar saken aisi koi manzil nahin

    han bankpan ki shan se hai karwan apna rawan

    mera watan hindostan

    Source:

    Raushni Ka Safar (Pg. e-152 p-153)

    • Author: Rifat Sarosh
      • Edition: 1974
      • Publisher: Idaara-e-Ishat-e-Urdu, Amroha, U. P.
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now