mere alfaz ko mahsus karo
mere alfāz ko chhū kar dekho
mere alfāz ko mahsūs karo
in meñ raqsāñ haiñ musaffā jazbe
in meñ pinhāñ haiñ dhaḌakte lamhe
in meñ taḳh.īl kā jaadū hai nihāñ
in meñ afkār kā dariyā hai ravāñ
in meñ miTTī kī hai sarshār mahak
in meñ tahzīb kī raushan hai jhalak
in meñ sarsabz rutoñ kī hai bahār
in meñ āvāra shaboñ kā hai ḳhumār
in meñ purvā.ī kī ThanDak bhī hai
in meñ tūfān kī dastak bhī hai
in meñ sangīt kī devī bhī hai
in meñ ehsās kī jyotī bhī hai
in meñ dariyā kī ravānī bhī hai
in meñ sahrā kī kahānī bhī hai
khiltī kaliyoñ kā tabassum bhī hai
zard pattoñ kā takallum bhī hai
surmagīñ sub.h kī dildārī hai
lamha-e-vasl kī sarshārī hai
sabz mausam kī dhanak hai in meñ
shāḳh-e-gul kī bhī lachak hai in meñ
in meñ sho.aloñ kī lapak hai dekho
in meñ chehroñ kī lalak hai dekho
dil ke reshoñ meñ inheñ jazb karo
phir inheñ zehn se chhū kar dekho
mere alfāz ko mahsūs karo
mere alfaz ko chhu kar dekho
mere alfaz ko mahsus karo
in mein raqsan hain musaffa jazbe
in mein pinhan hain dhaDakte lamhe
in mein taKHil ka jadu hai nihan
in mein afkar ka dariya hai rawan
in mein miTTi ki hai sarshaar mahak
in mein tahzib ki raushan hai jhalak
in mein sarsabz ruton ki hai bahaar
in mein aawara shabon ka hai KHumar
in mein purwai ki ThanDak bhi hai
in mein tufan ki dastak bhi hai
in mein sangit ki dewi bhi hai
in mein ehsas ki jyoti bhi hai
in mein dariya ki rawani bhi hai
in mein sahra ki kahani bhi hai
khilti kaliyon ka tabassum bhi hai
zard patton ka takallum bhi hai
surmagin subh ki dildari hai
lamha-e-wasl ki sarshaari hai
sabz mausam ki dhanak hai in mein
shaKH-e-gul ki bhi lachak hai in mein
in mein shoalon ki lapak hai dekho
in mein chehron ki lalak hai dekho
dil ke reshon mein inhen jazb karo
phir inhen zehn se chhu kar dekho
mere alfaz ko mahsus karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.