Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere bachchon ki hansi

Zareena Sani

mere bachchon ki hansi

Zareena Sani

MORE BYZareena Sani

    mere bachchoñ hañsī

    qulqul-e-mīnā jaise

    jaise naġhma ho kisī jharne

    jaise doshīza ke paa.el jhanak

    jaise kaliyoñ ke chaTakne sadā

    jaise raftār-e-sabā

    jaise ḳhandāñ ho sahar

    jaise mahbūb ulfat nazar

    un ma.asūm hañsī

    aish-añgez sukūñ mujh ko atā kartī hai

    merā har dard miTā detī hai

    ġham-e-āfāq bhulā detī hai

    mere bachchoñ hañsī

    mere bachchon ki hansi

    qulqul-e-mina jaise

    jaise naghma ho kisi jharne ka

    jaise doshiza ke pael ki jhanak

    jaise kaliyon ke chaTakne ki sada

    jaise raftar-e-saba

    jaise KHandan ho sahar

    jaise mahbub ki ulfat ki nazar

    un ki masum hansi

    aish-angez sukun mujh ko ata karti hai

    mera har dard miTa deti hai

    gham-e-afaq bhula deti hai

    mere bachchon ki hansi

    Source:

    (Pg. 36)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now