Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere sathi tere aur mere darmiyan

Riyaz Anwar

mere sathi tere aur mere darmiyan

Riyaz Anwar

MORE BYRiyaz Anwar

    mere sāthī tire aur mire darmiyān

    kis qadar fāsloñ fasīleñ khaḌī haiñ yahāñ

    merā vīrāna ho tirā gulsitāñ

    har qadam par hazāroñ salībeñ gaḌī haiñ yahāñ

    ārzuoñ ke saa.e haiñ phir bhī ravāñ

    hāsil-e-zindagī hāsil-e-bandagī

    āñsuoñ jalan hasratoñ dhuāñ

    har ubhartī huī raat tīrgī

    terī afshāñ se taare churātī rahī

    mere āñgan ko aa kar sajātī rahī

    sham-e-hastī magar Dagmagātī rahī

    dil pukārā kiyā raushnī raushnī

    kohr-ālūd rāhoñ pe chalte hue

    har qadam par tujhe maiñ ne āvāz bārhā

    merī āvāz ne ḳhud pukārā mujhe

    kho ga.ī in ḳhalāoñ yaḳh-bastagī meñ sadā

    hijr ke marhale dard ke silsile

    karb āñdhiyāñ dil bujhtā huā ik diyā

    tere hoñToñ kaliyāñ mahaktī rahīñ

    aañkh rotī rahī hoñT hañste rahe

    jaane kis manzil-e-zīst par aa ga.e

    terī yādoñ ke mahtāb gahnā ga.e

    mere sathi tere aur mere darmiyan

    kis qadar faslon ki fasilen khaDi hain yahan

    mera virana ho ya tera gulsitan

    har qadam par hazaron saliben gaDi hain yahan

    aarzuon ke sae hain phir bhi rawan

    hasil-e-zindagi hasil-e-bandagi

    aansuon ki jalan hasraton ka dhuan

    har ubharti hui raat ki tirgi

    teri afshan se tare churaati rahi

    mere aangan ko aa kar sajati rahi

    sham-e-hasti magar Dagmagati rahi

    dil pukara kiya raushni raushni

    kohr-alud rahon pe chalte hue

    har qadam par tujhe main ne aawaz di barha

    meri aawaz ne KHud pukara mujhe

    kho gai in KHalaon ki yaKH-bastagi mein sada

    hijr ke marhale dard ke silsile

    karb ki aandhiyan dil ka bujhta hua ek diya

    tere honTon ki kaliyan mahakti rahin

    aankh roti rahi honT hanste rahe

    jaane kis manzil-e-zist par aa gae

    teri yaadon ke mahtab gahna gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now