Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri ek buri aadat thi

Bilal Ahmad

meri ek buri aadat thi

Bilal Ahmad

MORE BYBilal Ahmad

    merī ek burī aadat thī

    merī aadat ke hāthoñ kaisī zich aur kitnī diq thī

    jab hairat uñglī thāme tere saath chalā kartā thā

    ik shīrīñ muskān beleñ mere tan buuTe ke uupar istehqāq se chaḌhtī thiiñ

    aur ik lams gaatā paanī nas nas diip jalātā thā

    lams ke jugnū aur muskān titlī mere khilaune the

    in donoñ duurī sahnā jiine jaisā mushkil thā

    in ko pallū meñ bāñdhe jab bhī duur kahīñ jaatī thī

    maiñ visvās Dor se lipTā pīchhe pīchhe aa jaatā thā

    sab logoñ se, har raste se terā pata pūchhā kartā thā

    ab hairat uñglī thāme ik aise des ga.ī hai

    jis ke sab bāzār aur galiyāñ, saare ghar aur sab chaubāre

    gahrī dhund meñ sar-basta haiñ, guzre kal se paivasta haiñ

    maiñ is dhund ke chaurāhe par nam ā.ankhoñ ko poñchh rahā huuñ

    rote rote soch rahā huuñ

    kis ko rokūñ kis se pūchhūñ kyā merī maañ ko dekhā hai?

    is raste se ho ke ga.ī thī

    apnī ek burī aadat se kaisā zich aur kitnā diq huuñ

    meri ek buri aadat thi

    tu meri aadat ke hathon kaisi zich aur kitni diq thi

    jab hairat ki ungli thame tere sath chala karta tha

    ek shirin muskan ki belen mere tan buTe ke upar istehqaq se chaDhti thin

    aur ek lams ka gata pani nas nas dip jalata tha

    lams ke jugnu aur muskan ki titli mere khilaune the

    in donon ki duri sahna jine jaisa mushkil tha

    in ko pallu mein bandhe tu jab bhi dur kahin jati thi

    main wiswas ki Dor se lipTa pichhe pichhe aa jata tha

    sab logon se, har raste se tera pata puchha karta tha

    ab hairat ki ungli thame tu ek aise des gai hai

    jis ke sab bazar aur galiyan, sare ghar aur sab chaubare

    gahri dhund mein sar-basta hain, guzre kal se paiwasta hain

    main is dhund ke chaurahe par nam aaankhon ko ponchh raha hun

    rote rote soch raha hun

    kis ko rokun kis se puchhun kya meri man ko dekha hai?

    is raste se ho ke gai thi

    apni ek buri aadat se kaisa zich aur kitna diq hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now