Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri pahli nazm

Azra Parveen

meri pahli nazm

Azra Parveen

MORE BYAzra Parveen

    sadā mānind is baras bhī

    tamām kavvoñ ke jhunD koyal mukuT pe qābiz

    nashe meñ pāgal phudak rahe haiñ

    fat.h pe apnī uchhal rahe haiñ

    nirāsh koyal

    ki jis ke siine meñ

    huuk ban kar

    udaas koyal

    ki jis shah-e-rag pe

    kuuk ban kar

    hazār naġhme dhaḌak rahe haiñ

    vo āshiyāne meñ ban ke gūñgī

    paroñ meñ nannhī surīlī dilkash dhuneñ sameTe

    sapāT niile falak ko chup-chāp dekhtī hai

    jo is baras bhī

    ye kah rahā hai

    ḳhamosh rahnā

    kabhī na kahnā

    ki jab bhī koyal kuuk gūñjī

    ye aap apnā mukuT siyānoñ se chhīn legī

    ki jiite kyā tirī chahak ko

    tirā gharauñdā

    jis mehvar banī huī hai

    jis meñ zinda chunī huī hai

    ki jis farsh aur chhat bhī

    jis dīvār-o-dar bhī

    hai jis ghar rañg-o-roġhan

    vahī tirā terī jaañ gharauñdā

    tujhe tirī navā ko

    zinda rihā karegā

    rihā huī to gharauñdā kyā yuuñ sajā rahegā

    sada ki manind is baras bhi

    tamam kawwon ke jhunD koyal mukuT pe qabiz

    nashe mein pagal phudak rahe hain

    fath pe apni uchhal rahe hain

    nirash koyal

    ki jis ke sine mein

    huk ban kar

    udas koyal

    ki jis ki shah-e-rag pe

    kuk ban kar

    hazar naghme dhaDak rahe hain

    wo aashiyane mein ban ke gungi

    paron mein nannhi surili dilkash dhunen sameTe

    sapaT nile falak ko chup-chap dekhti hai

    jo is baras bhi

    ye kah raha hai

    KHamosh rahna

    kabhi na kahna

    ki jab bhi koyal ki kuk gunji

    ye aap apna mukuT siyanon se chhin legi

    ki jite ji kya teri chahak ko

    tera gharaunda

    tu jis ka mehwar bani hui hai

    tu jis mein zinda chuni hui hai

    ki jis ka farsh aur chhat bhi tu hi

    jis ki diwar-o-dar bhi tu hi

    tu hi hai jis ghar ka rang-o-roghan

    wahi tera teri jaan gharaunda

    tujhe ya teri nawa ko

    zinda riha karega

    riha hui to gharaunda kya yun saja rahega

    Source:

    Bara Qabaon Ki Saheli (Pg. 77)

    • Author: Azra Parveen
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now