Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri umr mein bahut se waqt nahin aae

Syed Kashif Raza

meri umr mein bahut se waqt nahin aae

Syed Kashif Raza

MORE BYSyed Kashif Raza

    vaqt ki jis meñ us se pyaar bāteñ karnī thiiñ

    vaqt ki jis meñ us ke jism se sāñseñ bharnī thiiñ

    vaqt ki jis meñ dil ke dard daarū DhūñDnā thā

    kisī aañkh meñ apne naam aañsū DhūñDnā thā

    vaqt ki jis meñ dukh raakh se phuul nikalne the

    vaqt ki jis meñ vaqt ke tevar aan badalne the

    vaqt ki jis meñ kisī se koī va.ada karnā thā

    jiinā hai marnā ek irāda karnā thā

    vaqt jis meñ kisī ke vaqt meñ shirkat chāhiye thī

    muTThī bhar fursat chuTkī bhar chāhat chāhiye thī

    lekin merī umr meñ bahut se vaqt nahīñ aa.e

    waqt ki jis mein us se pyar ki baaten karni thin

    waqt ki jis mein us ke jism se sansen bharni thin

    waqt ki jis mein dil ke dard ka daru DhunDna tha

    kisi ki aankh mein apne nam ka aansu DhunDna tha

    waqt ki jis mein dukh ki rakh se phul nikalne the

    waqt ki jis mein waqt ke tewar aan badalne the

    waqt ki jis mein kisi se koi wada karna tha

    jina hai ya marna ek irada karna tha

    waqt ki jis mein kisi ke waqt mein shirkat chahiye thi

    muTThi bhar fursat chuTki bhar chahat chahiye thi

    lekin meri umr mein bahut se waqt nahin aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now