Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mir-e-karwan

Takmiil Rizvi Lakhnavi

mir-e-karwan

Takmiil Rizvi Lakhnavi

MORE BYTakmiil Rizvi Lakhnavi

    Interesting Fact

    مہاتما گاندھی

    sub.h-e-sādiq tarah raushan hai baapū terī zaat

    zau-fishāñ hai hind tārīḳh meñ terā sabāt

    paak bātin paak tīnat azm ke koh-e-girāñ

    ḳhādim-e-qaum-o-vatan ai nāzish-e-hindostāñ

    ḳhūbiyoñ se dast-e-qudrat ne sañvārā hai tujhe

    irtiqā.ī manziloñ ne jab pukārā hai tujhe

    tere aḳhlāq-o-mohabbat ajab andāz hai

    jis ko dekho aaj vo terā ham-āvāz hai

    terī pā-mardī ne zanjīr-e-ġhulāmī toḌ

    mil gayā svārāj jab baapū to duniyā chhoḌ

    tere istiqlāl par saarā zamāna dang thā

    jang-e-āzādī ke laḌne nirālā Dhang thā

    terī koshish se banā hindostāñ jannat-nishāñ

    rāsta ne dikhāyā ban ke mīr-e-kārvāñ

    aaj sar par hind ke fat.h-o-zafar taaj hai

    diloñ meñ jalva-gar terā diloñ par raaj hai

    is badalte daur meñ ye shān-o-azmat hai terī

    mulk-o-millat ko bahut ab bhī zarūrat hai terī

    qaum ik gauhar-e-nāyāb thā jo kho gayā

    qaum ik jazba-e-betāb thā jo so gayā

    rāsta batlā ke ai 'takmīl' vo rahbar gayā

    aane vāloñ ke liye hamvār rāheñ kar gayā

    subh-e-sadiq ki tarah raushan hai bapu teri zat

    zau-fishan hai hind ki tariKH mein tera sabaat

    pak baatin pak tinat azm ke koh-e-giran

    KHadim-e-qaum-o-watan ai nazish-e-hindostan

    KHubiyon se dast-e-qudrat ne sanwara hai tujhe

    irtiqai manzilon ne jab pukara hai tujhe

    tere aKHlaq-o-mohabbat ka ajab andaz hai

    jis ko dekho aaj wo tera hi ham-awaz hai

    teri pa-mardi ne zanjir-e-ghulami toD di

    mil gaya swaraj jab bapu to duniya chhoD di

    tere istiqlal par sara zamana dang tha

    jang-e-azadi ke laDne ka nirala Dhang tha

    teri koshish se bana hindostan jannat-nishan

    rasta tu ne dikhaya ban ke mir-e-karwan

    aaj sar par hind ke fath-o-zafar ka taj hai

    tu dilon mein jalwa-gar tera dilon par raj hai

    is badalte daur mein ye shan-o-azmat hai teri

    mulk-o-millat ko bahut ab bhi zarurat hai teri

    qaum ka ek gauhar-e-nayab tha jo kho gaya

    qaum ka ek jazba-e-betab tha jo so gaya

    rasta batla ke ai 'takmil' wo rahbar gaya

    aane walon ke liye hamwar rahen kar gaya

    Source:

    Meer-e-Karwan (Pg. 16)

    • Author: Takmiil Rizvi Lakhnavi
      • Publisher: Takmiil Rizvi Lakhnavi
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now