Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mini-bus ka safar

Khalid Irfan

mini-bus ka safar

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    conveyance kuchh bhī jab nazar aayā na daa.eñ baa.eñ

    sochā ki aaj ham bhī mini-bus meñ baiTh jaa.eñ

    jaanā thā lālū-khet chaḌhe the sadr se ham

    ruḳhsat hue the sar-ba-kafan apne ghar se ham

    har raah bus shahr-e-ḳhamoshāñ raah thī

    har seat bus āḳhirī ārām-gāh thī

    raqqās-e-ḳhush-adā tarah hil rahī thī bus

    nā-āshnā Truck se gale mil rahī thī bus

    fōtpath se bhī haath milātī huī chalī

    Thumka qadam qadam pe lagātī huī chalī

    purza har ek maz.har-e-chañg-o-raubāb thā

    is bus ittifāq se bhoñpū ḳharāb thā

    Dhīlī kamāniyoñ meñ tarannum balā thā

    dekhā utar ke bus se to jhoñkā havā thā

    gaane meñ Thīk-Thāk the chalne meñ weak the

    is mahfil-e-samā.a meñ pahiye sharīk the

    nāzuk samā.atoñ pe sitam Dhā rahī thī bus

    ulTe suroñ meñ koī ġhazal rahī thī bus

    ho to ga.e the bus meñ musāfir sab adjust

    Dar thā ki ho na jaa.e kahīñ tyroñ meñ burst

    bus meñ sikuḌ ke thaan se chit ho ga.e the ham

    purze the aur machine meñ fiT ho ga.e the ham

    jo kuchh bhī mil rahā thā liye rahe the ham

    dhakkoñ geñd catch kiye rahe the ham

    majbūr ho ga.e the jamīl o hasīn log

    murġhā bane hue the muazziz-tarīn log

    bus meñ misāl-e-shāḳh-e-samar jhuk ga.e the log

    ḳhuddār o sar-buland the par jhuk ga.e the log

    kuchh shauqiya the kuchh ba-irāda jhuke hue

    azmat-miyāñ the sab se zyāda jhuke hue

    āzād tab.a vāqif-e-garaje na thī

    signal battiyoñ to muhtāj na thī

    stop se chalī to rukī ik dukān meñ

    āḳhir use panāh milī sā.ebān meñ

    vo log chal diye jo sar-e-rahguzar na the

    ''manzil unheñ milī jo sharīk-e-safar na the''

    conweyance kuchh bhi jab nazar aaya na daen baen

    socha ki aaj hum bhi mini-bus mein baiTh jaen

    jaana tha lalu-khet chaDhe the sadr se hum

    ruKHsat hue the sar-ba-kafan apne ghar se hum

    har rah bus ki shahr-e-KHamoshan ki rah thi

    har seat bus ki aaKHiri aaram-gah thi

    raqqas-e-KHush-ada ki tarah hil rahi thi bus

    na-ashna Truck se gale mil rahi thi bus

    footpath se bhi hath milati hui chali

    Thumka qadam qadam pe lagati hui chali

    purza har ek mazhar-e-chang-o-raubab tha

    is bus ka ittifaq se bhonpu KHarab tha

    Dhili kamaniyon mein tarannum bala ka tha

    dekha utar ke bus se to jhonka hawa ka tha

    gane mein Thik-Thak the chalne mein weak the

    is mahfil-e-samaa mein pahiye sharik the

    nazuk samaaton pe sitam Dha rahi thi bus

    ulTe suron mein koi ghazal ga rahi thi bus

    ho to gae the bus mein musafir sab adjust

    Dar tha ki ho na jae kahin tyron mein burst

    bus mein sikuD ke than se chit ho gae the hum

    purze the aur machine mein fiT ho gae the hum

    jo kuchh bhi mil raha tha liye ja rahe the hum

    dhakkon ki gend catch kiye ja rahe the hum

    majbur ho gae the jamil o hasin log

    murgha bane hue the muazziz-tarin log

    bus mein misal-e-shaKH-e-samar jhuk gae the log

    KHuddar o sar-buland the par jhuk gae the log

    kuchh shauqiya the kuchh ba-irada jhuke hue

    azmat-miyan the sab se zyaada jhuke hue

    aazad taba waqif-e-garaje hi na thi

    signal ki battiyon ki to muhtaj hi na thi

    stop se chali to ruki ek dukan mein

    aaKHir use panah mili saeban mein

    wo log chal diye jo sar-e-rahguzar na the

    manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the

    Source:

    No Problem (Pg. 93)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now