Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hamraaz

Zeba Khan Hina

mere hamraaz

Zeba Khan Hina

MORE BYZeba Khan Hina

    maiñ bahut der se dālān meñ chupkī baiThī

    sard dīvār se sar apnā Tikā kar tujh ko

    sochtī huuñ ki is vaqt kahāñ par hogā

    kisī jalte hue chūlhe taraf haath baḌhā.e

    kisī narm se kambal meñ pairoñ ko chhupā.e

    kisī kone meñ kahīñ par akelā baiThā

    apnī āñkhoñ ke darīchoñ ko muqaffal kar ke

    mujhe lagtā hai mujhe soch rahā hogā

    ki vo is vaqt kisī nazm meñ khoī shāyad

    mirī tasvīr se mauzū'-e-suḳhan kartī

    kisī pechīda zaḳhāmat se bhare novel ke

    chand jumloñ samā'at se hirāsāñ ho kar

    ḳhud se laḌte hue aurāq ulaTtī hogī

    maiñ bhaTak kar kahīñ is or nikal ā.ūñgā

    vo yahī soch ke ab chhat pe Tahaltī hogī

    mire hoñToñ ke tabassum pe fidā ik laḌkī

    mirī āñkhoñ ke ishāroñ se bahalne vaalī

    jaane ab ruuTh ke vo kaise bahaltī hogī

    mire ham-rāz mirī soch meñ rahne vaale

    mire ruḳhsār pe bahte hue paanī qasam

    aa mujhe dekh tire hijr meñ kyā haal huā

    vo jo nazmoñ se suḳhan kartī bahal jaatī thī

    jo kabhī girtī to ḳhud gir ke sañbhal jaatī thī

    jis ko hañste hue chehroñ se mohabbat thī kabhī

    jis rangīn tabī'at thā shaidā.ī

    us ne sūraj shu'ā'oñ se 'adāvat kar

    apnī rangīn mizājī se baġhāvat kar

    sard rātoñ meñ vo be-ḳhauf jagā kartī hai

    ab ujāloñ meñ añdheroñ du'ā kartī hai

    main bahut der se dalan mein chupki baiThi

    sard diwar se sar apna Tika kar tujh ko

    sochti hun ki tu is waqt kahan par hoga

    kisi jalte hue chulhe ki taraf hath baDhae

    ya kisi narm se kambal mein hi pairon ko chhupae

    kisi kone mein kahin par tu akela baiTha

    apni aankhon ke darichon ko muqaffal kar ke

    mujhe lagta hai mujhe soch raha hoga tu

    ki wo is waqt kisi nazm mein khoi shayad

    meri taswir se mauzu'-e-suKHan wa karti

    kisi pechida zaKHamat se bhare nowel ke

    chand jumlon ki sama'at se hirasan ho kar

    KHud se laDte hue auraq ulaTti hogi

    main bhaTak kar kahin is or nikal aaunga

    wo yahi soch ke ab chhat pe Tahalti hogi

    mere honTon ke tabassum pe fida ek laDki

    meri aankhon ke ishaaron se bahalne wali

    jaane ab ruTh ke wo kaise bahalti hogi

    mere ham-raaz meri soch mein rahne wale

    mere ruKHsar pe bahte hue pani ki qasam

    aa mujhe dekh tere hijr mein kya haal hua

    wo jo nazmon se suKHan karti bahal jati thi

    jo kabhi girti to KHud gir ke sanbhal jati thi

    jis ko hanste hue chehron se mohabbat thi kabhi

    jis ki rangin tabi'at ka tha shaidai tu

    us ne suraj ki shu'a'on se 'adawat kar li

    apni rangin mizaji se baghawat kar li

    sard raaton mein wo be-KHauf jaga karti hai

    ab ujalon mein andheron ki du'a karti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now