Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere KHwab so ja

nawed malik

mere KHwab so ja

nawed malik

MORE BYnawed malik

    mire ḳhvāb so

    mirī aañkh meñ tairtī ḳhānqāhoñ meñ

    ab saañs lete hue saare darvesh

    miTTī ḳhushbū ko tarse hue haiñ

    mujhe ne jitne zamānoñ dhūpoñ se dhoyā hai ab tak

    vo nafrat adāvat se gūñdhī huī haiñ

    jo sadiyoñ ke chehre dikhā.e haiñ ne

    vo sab khurdure haiñ

    mirī nīndeñ un se udhaḌne lagī haiñ

    mire ḳhvāb so ki ne

    mire ashk noche

    aur un sadāoñ ko bhī ḳhuub rauñdā

    maiñ ab tere ġhāroñ se bāhar

    na jhāñkūñ to merī

    na.ī nasl andhe kuñ.eñ meñ giregī

    mire ḳhvāb so mujhe jāgne de

    ki ab maiñ tirī silvaToñ meñ

    ghuTan safar tai karūñgā to mar jā.uñgā

    mere KHwab so ja

    meri aankh mein tairti KHanqahon mein

    ab sans lete hue sare darwesh

    miTTi ki KHushbu ko tarse hue hain

    mujhe tu ne jitne zamanon ki dhupon se dhoya hai ab tak

    wo nafrat adawat se gundhi hui hain

    jo sadiyon ke chehre dikhae hain tu ne

    wo sab khurdure hain

    meri ninden un se udhaDne lagi hain

    mere KHwab so ja ki tu ne

    mere ashk noche

    aur un ki sadaon ko bhi KHub raunda

    main ab tere ghaaron se bahar

    na jhankun to meri

    nai nasl andhe kunen mein giregi

    mere KHwab so ja mujhe jagne de

    ki ab main teri silwaTon mein

    ghuTan ka safar tai karunga to mar jaunga

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now