Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere panw ke niche KHak nahin

Mohammad Anvar Khalid

mere panw ke niche KHak nahin

Mohammad Anvar Khalid

MORE BYMohammad Anvar Khalid

    mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ kisī aur ke paañv miTTī hai

    darvāza khulā

    aur māh-e-zavāl dar aayā

    band makāñ ke rauzan-e-dar se

    aage saat dulhan qabr hai

    nīche kūza-garoñ bastī hai

    kūza-garoñ bastī meñ mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ

    baḌe qisse haiñ

    baḌe qisse haiñ dil sabr-o-savāl ke sunñe ke

    baḌī bāteñ saif-o-kitāb pe likhne

    baḌe ḳhvāb haiñ oḌh ke sone ko

    kabhī ḳhvāb likhe nahīñ jaate

    kabhī bāteñ sunī nahīñ jātīñ

    kabhī qisse kahe nahīñ jaate

    kūza-garoñ bastī meñ baḌe qisse haiñ aur ḳhaak nahīñ

    mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ

    aur māh-e-zavāl dar aayā

    band makāñ ke rauzan-e-dar se

    aage saat dulhan qabr hai

    nīche kūza-garoñ bastī hai

    kūza-garoñ bastī meñ

    mire paañv ke nīche ḳhaak nahīñ kisī aur paañv miTTī hai

    mere panw ke niche KHak nahin kisi aur ke panw ki miTTi hai

    darwaza khula

    aur mah-e-zawal dar aaya

    band makan ke rauzan-e-dar se

    aage sat dulhan ki qabr hai

    niche kuza-garon ki basti hai

    kuza-garon ki basti mein mere panw ke niche KHak nahin

    baDe qisse hain

    baDe qisse hain dil sabr-o-sawal ke sunne ke

    baDi baaten saif-o-kitab pe likhne ki

    baDe KHwab hain oDh ke sone ko

    kabhi KHwab likhe nahin jate

    kabhi baaten suni nahin jatin

    kabhi qisse kahe nahin jate

    kuza-garon ki basti mein baDe qisse hain aur KHak nahin

    mere panw ke niche KHak nahin

    aur mah-e-zawal dar aaya

    band makan ke rauzan-e-dar se

    aage sat dulhan ki qabr hai

    niche kuza-garon ki basti hai

    kuza-garon ki basti mein

    mere panw ke niche KHak nahin kisi aur ki panw ki miTTi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now