Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri gali ke ghaliz bachcho

Mohsin Naqvi

meri gali ke ghaliz bachcho

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    mirī galī ke ġhalīz bachcho

    tum apne maile badan saarī ġhalāzatoñ ko udhār samjho

    tumhārī āñkheñ

    udāsiyoñ se bharī huī haiñ

    azal se jaise Darī huī haiñ

    tumhāre hoñToñ pe pīḌhiyoñ jamī huī tah ye kah rahī hai

    hayāt aabjū pas-e-pusht bah rahī hai

    tumhārī jebeñ munāfiqat se aTī huī haiñ

    sabhī qamīseñ phaTī huī haiñ

    tumhārī phīkī hatheliyoñ bujhī lakīreñ

    baqā abjad se ajnabī haiñ

    tumhārī qismat āsmānī nishāniyāñ ab ḳhutūt-e-vahdāniyat maqsūm ho rahī haiñ

    nazar se mādūm ho rahī haiñ

    mirī galī ke ġhalīz bachcho

    tumhāre māñ-bāp ne tamaddun qarz le kar

    tumhārī tahzīb bech hai

    tumhārā ustād apnī TuuTī huī chhaḌī le ke chup khaḌā hai

    ki is ke sūkhe gale meñ nān-e-javīñ TukḌā aḌā huā hai

    mirī galī ke ġhalīz bachcho

    tumhāre maile badan saarī ġhalāzateñ ab ga.e zamānoñ ke armuġhāñ haiñ

    tumhāre virse dāstāñ haiñ

    inheñ sambhālo

    ki aane vaalā har ek lamha tumhāre jhaḌte hue papoToñ se jaane vaale dinoñ dinoñ utaar legā

    mirī galī ke ġhalīz bachcho

    zidoñ ko chhoḌo

    qarīb aao

    rutoñ nafrat ko pyaar samjho

    ḳhizāñ ko rang-e-bahār samjho

    ġhalāzatoñ ko udhār samjho

    meri gali ke ghaliz bachcho

    tum apne maile badan ki sari ghalazaton ko udhaar samjho

    tumhaari aankhen

    udasiyon se bhari hui hain

    azal se jaise Dari hui hain

    tumhaare honTon pe piDhiyon ki jami hui tah ye kah rahi hai

    hayat ki aabju pas-e-pusht bah rahi hai

    tumhaari jeben munafiqat se aTi hui hain

    sabhi qamisen phaTi hui hain

    tumhaari phiki hatheliyon ki bujhi lakiren

    baqa ki abjad se ajnabi hain

    tumhaari qismat ki aasmani nishaniyan ab KHutut-e-wahdaniyat ka maqsum ho rahi hain

    nazar se madum ho rahi hain

    meri gali ke ghaliz bachcho

    tumhaare man-bap ne tamaddun ka qarz le kar

    tumhaari tahzib bech di hai

    tumhaara ustad apni TuTi hui chhaDi le ke chup khaDa hai

    ki is ke sukhe gale mein nan-e-jawin ka TukDa aDa hua hai

    meri gali ke ghaliz bachcho

    tumhaare maile badan ki sari ghalazaten ab gae zamanon ke armughan hain

    tumhaare wirse ki dastan hain

    inhen sambhaalo

    ki aane wala har ek lamha tumhaare jhaDte hue papoTon se jaane wale dinon dinon ki utar lega

    meri gali ke ghaliz bachcho

    zidon ko chhoDo

    qarib aao

    ruton ki nafrat ko pyar samjho

    KHizan ko rang-e-bahaar samjho

    ghalazaton ko udhaar samjho

    Source:

    Kulliyat-e-mohsin (Pg. 504)

    • Author: Mohsin Naqvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Mavra Publishers
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now