miTTi ke mausam
badalte hue mausamoñ se mujhe hai shikāyat
ki doharāo kā ye tasalsul bhī
be-rang yaksāniyat ke sivā aur kyā hai
ki miTTī ke mausam
vahī garmiyāñ sardiyāñ
aur ḳhizā.eñ bahāreñ
jo yaksāñ tanāsub se
mujh ko pukāreñ
badalte hue mausamoñ se mirī iltijā hai
agar ho sake to mire ghar ke āñgan meñ
har roz aisī shu'ā'eñ utāreñ
jo pahle kī saarī shu'ā'oñ se hoñ muḳhtalif aur na.ī
merī āñkhoñ meñ bhar deñ na.e rang
jo saat rangoñ kī fehrist meñ bhī na hoñ
raat din kā ye lā-intihā silsila
apne chehre pe
in saat rangoñ kī
be-rang sī ye naqāb oḌh kar
aisī yak-rangī-e-zindagī
mausamoñ ke badalte tanāzur meñ
kab tak chhupā.egā
badalte hue mausamon se mujhe hai shikayat
ki doharao ka ye tasalsul bhi
be-rang yaksaniyat ke siwa aur kya hai
ki miTTi ke mausam
wahi garmiyan sardiyan
aur KHizaen bahaaren
jo yaksan tanasub se
mujh ko pukaren
badalte hue mausamon se meri iltija hai
agar ho sake to mere ghar ke aangan mein
har roz aisi shu'a'en utaren
jo pahle ki sari shu'a'on se hon muKHtalif aur nai
meri aankhon mein bhar den nae rang
jo sat rangon ki fehrist mein bhi na hon
raat din ka ye la-intiha silsila
apne chehre pe
in sat rangon ki
be-rang si ye naqab oDh kar
aisi yak-rangi-e-zindagi
mausamon ke badalte tanazur mein
kab tak chhupaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.