Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat jism hai mana

Tabassum Fatma

mohabbat jism hai mana

Tabassum Fatma

MORE BYTabassum Fatma

    koī āvāz thī jis ke talātum meñ

    yuuñ bah jaanā kahāñ manzūr mujh ko thā

    kahīñ vahshat ke an-dekhe bhañvar ke saat parde the

    jo zindānoñ meñ khulte the

    har ek zindāñ meñ maiñ thī

    aur mirī sarshār tabī.at ke har ek lamhe sāñsoñ meñ

    kahīñ merī anā thī merī tāqat thī mohabbat thī

    maiñ kab aisī kisī āvāz zad meñ

    mohabbat DhūñDhtī tahlīl hotī

    aur āvāra kuchh maujoñ meñ mil kar ḳhud ko kho detī

    mohabbat jism hai maanā

    magar sarshār rūhoñ alag bhī ek bastī hai

    ḳhayāloñ se pare bhī ik nagar hai

    jis meñ ham tum zindagī fāqa-mastī aur udāsī aur ḳhāmoshī ke jangal se guzarte haiñ

    jahāñ vīrāniyoñ saltanat meñ

    dīda-o-nādīda ḳhvāb bante aur ujaḌte haiñ

    kahīñ ham rāste ke sang-pāroñ se ulajh kar

    ek lamhe meñ hazāroñ baar jiite aur marte haiñ

    mohabbat jism ke chhoTe se hujre ke

    kisī goshe meñ rahtī hai

    yahāñ rauzan nahīñ koī

    kahīñ se raushnī ik kiran andar nahīñ aatī

    bahut gahrā añdherā hai

    tasavvur aur ḳhayāloñ guzargāhoñ pe pahrā hai

    mohabbat ek hāsil safar sātvāñ parda hai

    jis meñ ik samundar us tuġhyānī ḳhamoshī baserā hai

    samundar shānt hotā hai to pistānoñ se lahreñ yuuñ lipaTtī haiñ

    ki jaise ghan garaj ke baa'd sarshārī lamha ho

    usī lamhe meñ vaqfe meñ

    mohabbat be-karāñ hotī hai jiitī hai

    mohabbat gungunātī aur bikhartī hai

    mohabbat jāvedāñ hotī mahaktī hai

    koi aawaz thi jis ke talatum mein

    yun bah jaana kahan manzur mujh ko tha

    kahin wahshat ke an-dekhe bhanwar ke sat parde the

    jo zindanon mein khulte the

    har ek zindan mein main thi

    aur meri sarshaar tabiat ke har ek lamhe ki sanson mein

    kahin meri ana thi meri taqat thi mohabbat thi

    main kab aisi kisi aawaz ki zad mein

    mohabbat DhunDhti tahlil hoti

    aur aawara si kuchh maujon mein mil kar KHud ko kho deti

    mohabbat jism hai mana

    magar sarshaar ruhon ki alag bhi ek basti hai

    KHayalon se pare bhi ek nagar hai

    jis mein hum tum zindagi ki faqa-masti aur udasi aur KHamoshi ke jangal se guzarte hain

    jahan viraniyon ki saltanat mein

    dida-o-nadida KHwab bante aur ujaDte hain

    kahin hum raste ke sang-paron se ulajh kar

    ek lamhe mein hazaron bar jite aur marte hain

    mohabbat jism ke chhoTe se hujre ke

    kisi goshe mein rahti hai

    yahan rauzan nahin koi

    kahin se raushni ki ek kiran andar nahin aati

    bahut gahra andhera hai

    tasawwur aur KHayalon ki guzargahon pe pahra hai

    mohabbat ek la hasil safar ka satwan parda hai

    jis mein ek samundar us ki tughyani KHamoshi ka basera hai

    samundar shant hota hai to pistanon se lahren yun lipaTti hain

    ki jaise ghan garaj ke ba'd sarshaari ka lamha ho

    usi lamhe mein waqfe mein

    mohabbat be-karan hoti hai jiti hai

    mohabbat gungunati aur bikharti hai

    mohabbat jawedan hoti mahakti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now