Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ke is be-karan safar mein

Perwaiz Shaharyar

mohabbat ke is be-karan safar mein

Perwaiz Shaharyar

MORE BYPerwaiz Shaharyar

    aurat!

    tere kitne ruup,

    tere kitne naam

    mohabbat ke is be-karāñ safar meñ

    kitne paḌāv, kitne maqām

    kabhī kalī, kabhī phuul

    aur kabhī murjhā.ī huī pañkhuḌī

    kabhī anār, kabhī māhtāb aur kabhī phuljhaḌī

    taḳhlīq mamba.a, shaktī ḳhazīna terī zaat

    mehvar-e-lā-mutanāhī silsila-e-hayāt-o-mamāt

    shafqat, mohabbat, īsār-o-vafā sab tere ruup

    sītā, sāvitrī, rādhā, miirā

    sachchī chāhat ke nuqūsh

    ek faqat chāhat atiyya, terā ye hiire ruup

    aurat meñ ho gar ḳhud-e'timādī

    dushāsan draupadī svāgat ko aa.e

    bheroñ ḳhud sherāvālī iffat bachā.e

    aurat hāsil-e-taḳhlīq-e-duniyā hai

    aurat shu.ūr-e-ādam pesh-ḳhema hai

    ḳhudā ne jo baḳhshā hai tujhe nasoñ jaal

    ajab us qudrat hai ajab us kamāl

    kahīñ menkā to kahīñ maryam hai

    kahīñ aulād juuyā zauja-e-zakaryā hai

    injīl o qur.ān sab tere ratab-ul-lisān

    ki asl meñ hai dhartī shaan

    mamtā karunā tere naam

    ai maañ! tujhe salām

    āġhosh-e-mādar ko yuuñ pahlā maktab Thahrāyā

    ki ne aadam ko mohabbat karnā sikhāyā

    jis ne dil meñ tere

    sabhoñ mohabbat rakhī

    usī ne qadmoñ meñ tere jannat rakhī

    aql-e-ādmī aaj itnī kyuuñ hairān hai

    aadmī pahlī pahchān hai

    tere dam se rañg-o-bū-e-kā.enāt

    az-azal tā-abad aadam hai sharīk-e-hayāt

    sabhoñ tujh par ye e'tibār hai

    shajar-e-hayāt barg-o-bār hai

    ye duniyā bhī tujh se numūdār hai

    girhast jīvan āshram hai tujh se tābinda

    banī phir aadam najāt-dahinda

    to jannat pahlī haqdār hai

    saarī ibādat parastish hai rūh-e-ravāñ

    ai aurat aisā terā raushan kirdār hai

    mohabbat ke is be-karāñ safar meñ

    tujh se zindagī ustuvār hai

    aurat!

    tere kitne rup,

    tere kitne nam

    mohabbat ke is be-karan safar mein

    kitne paDaw, kitne maqam

    kabhi kali, kabhi phul

    aur kabhi murjhai hui pankhuDi

    kabhi anar, kabhi mahtab aur kabhi phuljhaDi

    taKHliq ka mamba, shakti ka KHazina teri zat

    mehwar-e-la-mutanahi silsila-e-hayat-o-mamat

    shafqat, mohabbat, isar-o-wafa sab tere rup

    sita, sawitri, radha, mera

    sachchi chahat ke nuqush

    ek faqat chahat ka atiyya, tera ye hire ka rup

    aurat mein ho gar KHud-e'timadi

    dushasan draupadi ki swagat ko aae

    bheron KHud sherawali ki iffat bachae

    aurat hi hasil-e-taKHliq-e-duniya hai

    aurat hi shuur-e-adam ka pesh-KHema hai

    KHuda ne jo baKHsha hai tujhe nason ka jal

    ajab us ki qudrat hai ajab us ka kamal

    kahin meinka to kahin maryam hai tu

    kahin aulad ki juya zauja-e-zakarya hai tu

    injil o quran sab tere ratab-ul-lisan

    ki tu hi asl mein hai dharti ki shan

    mamta karuna tere nam

    ai man! tujhe salam

    aaghosh-e-madar ko yun pahla maktab Thahraya

    ki tu ne hi aadam ko mohabbat karna sikhaya

    jis ne dil mein tere

    sabhon ki mohabbat rakhi

    usi ne qadmon mein tere jannat rakhi

    aql-e-admi aaj itni kyun hairan hai

    tu hi aadmi ki pahli pahchan hai

    tere hi dam se rang-o-bu-e-kaenat

    az-azal ta-abad aadam ki tu hai sharik-e-hayat

    sabhon ka tujh par ye e'tibar hai

    shajar-e-hayat ka tu hi barg-o-bar hai

    ye duniya bhi tujh hi se numudar hai

    girhast jiwan ka aashram hai tujh se tabinda

    tu hi bani phir aadam ki najat-dahinda

    to hi jannat ki pahli haqdar hai

    sari ibaadat parastish ki hai tu ruh-e-rawan

    ai aurat aisa tera raushan kirdar hai

    mohabbat ke is be-karan safar mein

    tujh se hi zindagi ustuwar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now