Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki manzil

Ateeya Daud

mohabbat ki manzil

Ateeya Daud

MORE BYAteeya Daud

    aise to nahīñ chheḌo mere jism ke tambūre ko

    jaise koī bachcha sharārat kare

    merā jism koī raaz nahīñ hai

    jise daryāft karne ke liye

    kisī naqshe zarūrat ho

    ye algebra savāl nahīñ hai

    jis pahle se formula tayyār ho

    is saaz ko bajāne ke liye koī bhī tarkīb

    duniyā kisī bhī kitāb meñ darj nahīñ

    ye saaz az-ḳhud bajne lage agar

    tere nain mohabbat ke diye ban kar jal uTheñ

    terī uñgliyoñ poreñ

    mere jism par aise safar kartī haiñ

    jaise koī muhim jo pahāḌ choTī par

    fatah parcham lahrānā chāhe

    barf pahāḌ bhī pighalne lage agar

    tere haath mere par ban kar

    mujhe mohabbat manzil taraf

    uḌā kar le jaa.eñ

    aise to nahin chheDo mere jism ke tambure ko

    jaise koi bachcha shararat kare

    mera jism koi raaz nahin hai

    jise daryaft karne ke liye

    kisi naqshe ki zarurat ho

    ye algebra ka sawal nahin hai

    jis ka pahle se formula tayyar ho

    is saz ko bajaane ke liye koi bhi tarkib

    duniya ki kisi bhi kitab mein darj nahin

    ye saz az-KHud bajne lage agar

    tere nain mohabbat ke diye ban kar jal uThen

    teri ungliyon ki poren

    mere jism par aise safar karti hain

    jaise koi muhim jo pahaD ki choTi par

    fatah ka parcham lahrana chahe

    barf ka pahaD bhi pighalne lage agar

    tere hath mere par ban kar

    mujhe mohabbat ki manzil ki taraf

    uDa kar le jaen

    Source :
    • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 97)
    • Author : Zahid Hasan
    • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
    • Edition : 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now