mohabbat
mohabbat
naam hai garche
ḳhayāloñ kī zamīnoñ par
kisī ke naam kī titlī
ke rangoñ kā nikhar jaanā
kisī kī aañkh meñ
Dhalte hue
manzar kā tham jaanā
kisī kī saañs meñ
bahte hue
pal kā dhaḌak jaanā
mohabbat dar-haqīqat
zaat kī tā'mīr kā
'umda fasāna hai
mohabbat
ek qāsid hai
agar ruk jaa.e
ye qāsid
tumhāre baam ke uupar
to phir tum
ye samajh lenā
tumhārī zaat meñ pinhāñ
ka.ī ajzā-e-tarkībī
mohabbat
lene aa.ī hai
mohabbat dar-haqīqat
zaat kī taḳhrīb
kā 'umda bahāna hai
mohabbat
nam hai garche
KHayalon ki zaminon par
kisi ke nam ki titli
ke rangon ka nikhar jaana
kisi ki aankh mein
Dhalte hue
manzar ka tham jaana
kisi ki sans mein
bahte hue
pal ka dhaDak jaana
mohabbat dar-haqiqat
zat ki ta'mir ka
'umda fasana hai
mohabbat
ek qasid hai
agar ruk jae
ye qasid
tumhaare baam ke upar
to phir tum
ye samajh lena
tumhaari zat mein pinhan
kai ajza-e-tarkibi
mohabbat
lene aai hai
mohabbat dar-haqiqat
zat ki taKHrib
ka 'umda bahana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.