Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat

Majaz Jaipuri

mohabbat

Majaz Jaipuri

MORE BYMajaz Jaipuri

    Interesting Fact

    تضمین برنظم

    na is pujārī na us namāzī

    nazar us hotī nahīñ imtiyāzī

    faqat ek maqsad faqat ek bāġhī

    shahīd-e-mohabbat na kāfir na ġhāzī

    mohabbat rasmeñ na turkī na taazī

    ġham-e-jāvedāñ hai ġham-e-avvalīñ hai

    ye fahm-o-farāsat se bālā-tarīñ hai

    ajab is duniyā ajab is diiñ hai

    vo kuchh aur shai hai mohabbat nahīñ hai

    sikhātī hai jo ġhaznavī ko ayāzī

    yahī lā.eq-e-kalma-e-āfrīñ hai

    ye īmān-e-kāmil mukammal yaqīñ hai

    agarche azal se yahī dil-nashīñ hai

    ye jauhar agar kār-farmā nahīñ hai

    to haiñ ilm-o-hikmat faqat shīsha-bāzī

    na is samt shashdar na us samt hairān

    na is se pareshāñ na us se pashemāñ

    na mauqūf-e-sahrā na vaqf-e-gulistāñ

    na muhtāj-e-sultāñ na mar.ūb-e-sultāñ

    mohabbat hai āzādī-o-be-niyāzī

    na ehsās mānūs jāma-darī se

    na idrāk mansūb jādūgarī se

    mirā ġham hai baalā ġham-e-hamsarī se

    mirā faqr behtar hai askandarī se

    ye ādam-garī hai vo ā.īna-sāzī

    na is ka pujari na us ka namazi

    nazar us ki hoti nahin imtiyazi

    faqat ek maqsad faqat ek baghi

    shahid-e-mohabbat na kafir na ghazi

    mohabbat ki rasmen na turki na tazi

    gham-e-jawedan hai gham-e-awwalin hai

    ye fahm-o-farasat se baala-tarin hai

    ajab is ki duniya ajab is ka din hai

    wo kuchh aur shai hai mohabbat nahin hai

    sikhati hai jo ghaznawi ko ayazi

    yahi laeq-e-kalma-e-afrin hai

    ye iman-e-kaamil mukammal yaqin hai

    agarche azal se yahi dil-nashin hai

    ye jauhar agar kar-farma nahin hai

    to hain ilm-o-hikmat faqat shisha-bazi

    na is samt shashdar na us samt hairan

    na is se pareshan na us se pasheman

    na mauquf-e-sahra na waqf-e-gulistan

    na muhtaj-e-sultan na marub-e-sultan

    mohabbat hai aazadi-o-be-niyazi

    na ehsas manus jama-dari se

    na idrak mansub jadugari se

    mera gham hai baala gham-e-hamsari se

    mera faqr behtar hai askandari se

    ye aadam-gari hai wo aaina-sazi

    Source:

    Do Aaba (Pg. 41)

    • Author: Majaz Jaipuri
      • Publisher: Iqbal Institute, Kashmir University, Srinagar
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now