Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohlat

Nahid Qamar

mohlat

Nahid Qamar

MORE BYNahid Qamar

    abhī Thahro

    abhī se is ta.alluq koī unvān mat socho

    abhī to is kahānī meñ

    mohabbat ke adhūre baab takmīl hone tak

    nazar dhuup meñ rakkhe hue ḳhvāboñ ke

    saare zā.iqe tabdīl hone tak

    bahut se moḌ aane haiñ

    mujhe un se guzarne do

    zarā mahsūs karne do

    ki mere paañv ke nīche zamīñ ne rañg badlā hai

    mire lahje meñ apnā kis tarah āhañg badlā hai

    mujhe thoḌā sambhalne do abhī Thahro

    abhī Thahro ki vo ḳhush-baḳht saa.at bhī abhī

    mujh tak nahīñ pahuñchī

    jo dil ke ā.īne ko vahm andhī galī se

    etibār-e-zāt sarhad pe laatī hai

    use rasta batātī hai

    abhī un rāstoñ par tum mujhe kuchh der chalne do

    abhī Thahro

    koī ḳhvāhish umīd-o-bīm ke mābain ab bhī

    saañs letī hai

    use is karb se āzād karne do

    vo saare ḳhvāb

    jin ko dekhne qarz meñ luuTā nahīñ paa.ī

    mujhe un ke liye ta.abīr saf.ha palaTne do

    abhī Thahro

    kisī biite hue mausam ke baḳhshe zaḳhm

    ab bhī aañkh putlī meñ raushan haiñ

    zarā ye zaḳhm bharne do

    masīhā.ī tumhārī

    ruuh pātāl tak kaise pahuñchtī hai

    mujhe andāza karne do

    abhī Thahro

    abhī se is ta.alluq

    koī unvān mat socho

    abhi Thahro

    abhi se is talluq ka koi unwan mat socho

    abhi to is kahani mein

    mohabbat ke adhure bab ki takmil hone tak

    nazar ki dhup mein rakkhe hue KHwabon ke

    sare zaiqe tabdil hone tak

    bahut se moD aane hain

    mujhe un se guzarne do

    zara mahsus karne do

    ki mere panw ke niche zamin ne rang badla hai

    mere lahje mein apna kis tarah aahang badla hai

    mujhe thoDa sambhalne do abhi Thahro

    abhi Thahro ki wo KHush-baKHt saat bhi abhi

    mujh tak nahin pahunchi

    jo dil ke aaine ko wahm ki andhi gali se

    etibar-e-zat ki sarhad pe lati hai

    use rasta batati hai

    abhi un raston par tum mujhe kuchh der chalne do

    abhi Thahro

    koi KHwahish umid-o-bim ke mabain ab bhi

    sans leti hai

    use is karb se aazad karne do

    wo sare KHwab

    jin ko dekhne ka qarz mein luTa nahin pai

    mujhe un ke liye tabir ka safha palaTne do

    abhi Thahro

    kisi bite hue mausam ke baKHshe zaKHm

    ab bhi aankh ki putli mein raushan hain

    zara ye zaKHm bharne do

    masihai tumhaari

    ruh ki patal tak kaise pahunchti hai

    mujhe andaza karne do

    abhi Thahro

    abhi se is talluq ka

    koi unwan mat socho

    Source:

    Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 168)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: 7,8, October 98 To March 1999
      • Publisher: Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market
      • Year of Publication: 7,8, October 98 To March 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now