Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

moti

MORE BYZakiya Sultana Nayar

    motī vo ham ne paayā

    partav se jis ke mukhḌā jīvan muskurāyā

    dhartī pe nuur bikhrā ākāsh jagmagāyā

    tārīkiyoñ meñ ġham jis ne kiyā ujālā

    be-tāb āñsuoñ hañstā huā vo hāsil

    tūfān-e-zindagī vo pur-sukūn sāhil

    vo bahr-e-be-karāñ mavvājiyoñ paalā

    vo husn-e-sarmadī Thahrā huā safīna

    vo ḳhātam-e-mohabbat jāvedāñ nagīna

    ġham ne jise tarāshā ishrat ne jis ko Dhālā

    vo gosh-e-ārzū āveza-e-mutahhar

    siina pe aabrū ke vo haikal-e-munavvar

    vo charḳh-e-zindagī damkā huā sitārā

    har chashm-e-jauharī maqsūd thā ye motī

    mandir meñ motiyoñ ke ma.abūd thā ye motī

    hasrat se muntazir thī har tābnāk maalā

    vo tal.at-e-sabāhī vo ishrat-e-shabāna

    vo vaqt amānat vo daulat-e-zamāna

    raste meñ chalte chalte jugnū jagmagāyā

    motī vo ham ne paayā

    moti wo hum ne paya

    partaw se jis ke mukhDa jiwan ka muskuraya

    dharti pe nur bikhra aakash jagmagaya

    tarikiyon mein gham ki jis ne kiya ujala

    be-tab aansuon ka hansta hua wo hasil

    tufan-e-zindagi ka wo pur-sukun sahil

    wo bahr-e-be-karan ki mawwajiyon ka pala

    wo husn-e-sarmadi ka Thahra hua safina

    wo KHatam-e-mohabbat ka jawedan nagina

    gham ne jise tarasha ishrat ne jis ko Dhaala

    wo gosh-e-arzu ka aaweza-e-mutahhar

    sina pe aabru ke wo haikal-e-munawwar

    wo charKH-e-zindagi ka damka hua sitara

    har chashm-e-jauhari ka maqsud tha ye moti

    mandir mein motiyon ke mabud tha ye moti

    hasrat se muntazir thi har tabnak mala

    wo talat-e-sabahi wo ishrat-e-shabana

    wo waqt ki amanat wo daulat-e-zamana

    raste mein chalte chalte jugnu sa jagmagaya

    moti wo hum ne paya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now