Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat ke baad

Himayat Ali Shayar

muddat ke baad

Himayat Ali Shayar

MORE BYHimayat Ali Shayar

    muddat ke ba.ad tum se milā huuñ to ye khulā

    ye vaqt aur fāsla dhoka nazar thā

    chehre pe umr bhar masāfat raqam sahī

    dil ke liye tamām safar lamha bhar thā

    kaisī ajiib sā.at-e-dīdār hai ki ham

    phir yuuñ mile ki jaise kabhī duur na the

    āñkhoñ meñ kam-sinī ke vo sab ḳhvāb jaag uThe

    jin meñ nigāh o dil kabhī majbūr na the

    ma.asūm kis qadar thiiñ vo be-nām chāhateñ

    bachpan se ham-kanār thā ahd-e-shabāb bhī

    yuuñ ātish-e-badan meñ thī shabnam ghulī huī

    mahtāb se ziyāda na thā āftāb bhī

    phir vo havā chalī ki sabhī kuchh bikhar gayā

    vo mahfileñ vo dost vo gul-rañg qahqahe

    ab raqs-e-gard-bād sūrat hai zindagī

    ye vaqt azaab kahāñ tak koī sahe

    ab tum milīñ to kitne ġham haiñ tumhāre saath

    patthar tarah tum ne gizārī hai zindagī

    kitnā lahū jalāyā to ye phuul muskurā.e

    kis kis jatan se tum ne sañvārī hai zindagī

    maiñ ne bhī ek johd-e-musalsal meñ kaaT

    vo umr thī jo phuul se armāñ liye hue

    ab vo junūñ rahā hai na vo mausam-e-bahār

    baiThā huuñ apnā chāk-e-girebāñ siye hue

    ab apne apne ḳhuuñ amānat hai aur ham

    aur in amānatoñ hifāzat ke ḳhvāb haiñ

    āñkhoñ meñ koī pyaas ho dil meñ koī taḌap

    phaile hue ufuq se ufuq tak sarāb haiñ

    kis ko ḳhabar thī lamha ik aisā bhī aa.egā

    maazī tamām phir simaT aa.egā haal meñ

    mahsūs ho rahā hai ki guzrā nahīñ hai vaqt

    ik lamha baT gayā thā faqat maah o saal maiñ

    tum bhī vahī ho maiñ bhī vahī vaqt bhī vahī

    haañ ik bujhī bujhī chamak chashm-e-nam meñ hai

    ye lamha jis ke sehr meñ kho.e hue haiñ ham

    kitnī masarratoñ surūr is ke ġham meñ hai

    muddat ke baad tum se mila hun to ye khula

    ye waqt aur fasla dhoka nazar ka tha

    chehre pe umr bhar ki masafat raqam sahi

    dil ke liye tamam safar lamha bhar ka tha

    kaisi ajib saat-e-didar hai ki hum

    phir yun mile ki jaise kabhi dur hi na the

    aankhon mein kam-sini ke wo sab KHwab jag uThe

    jin mein nigah o dil kabhi majbur hi na the

    masum kis qadar thin wo be-nam chahaten

    bachpan se ham-kanar tha ahd-e-shabab bhi

    yun aatish-e-badan mein thi shabnam ghuli hui

    mahtab se ziyaada na tha aaftab bhi

    phir wo hawa chali ki sabhi kuchh bikhar gaya

    wo mahfilen wo dost wo gul-rang qahqahe

    ab raqs-e-gard-baad ki surat hai zindagi

    ye waqt ka azab kahan tak koi sahe

    ab tum milin to kitne hi gham hain tumhaare sath

    patthar ki tarah tum ne gizari hai zindagi

    kitna lahu jalaya to ye phul muskurae

    kis kis jatan se tum ne sanwari hai zindagi

    main ne bhi ek johd-e-musalsal mein kaT di

    wo umr thi jo phul se arman liye hue

    ab wo junun raha hai na wo mausam-e-bahaar

    baiTha hun apna chaak-e-gireban siye hue

    ab apne apne KHun ki amanat hai aur hum

    aur in amanaton ki hifazat ke KHwab hain

    aankhon mein koi pyas ho dil mein koi taDap

    phaile hue ufuq se ufuq tak sarab hain

    kis ko KHabar thi lamha ek aisa bhi aaega

    mazi tamam phir simaT aaega haal mein

    mahsus ho raha hai ki guzra nahin hai waqt

    ek lamha baT gaya tha faqat mah o sal main

    tum bhi wahi ho main bhi wahi waqt bhi wahi

    han ek bujhi bujhi si chamak chashm-e-nam mein hai

    ye lamha jis ke sehr mein khoe hue hain hum

    kitni masarraton ka surur is ke gham mein hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now