Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mufakkir ki maut

Krishna Mohan

mufakkir ki maut

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    Interesting Fact

    (Bertrand Russell's Funeral)

    ye ik bāġhī mufakkir janāza hai

    hilā Daalā thā apnī kāfirāna fikr se jis ne

    yakāyak saarī duniyā ko

    faqat biis aadmī hamrāh haiñ is ke janāze ke

    zamāna jis qadr-o-manzilat kartā thā aur jis ke ḳhayāloñ se sañvartā thā

    vo bāġhī rahā hai aaj akelā ek albelā musāfir thā

    karoḌoñ mominoñ par thā jo bhārī aisā kāfir thā

    sitāre kyuuñ chamakte haiñ diloñ mājrā kyā hai

    satīza-ḳhū hai kyuuñ insāñ mohabbat maza kyā hai

    ye tahqīq is maz.hab thā

    hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe ro.egī

    ye ek baghi mufakkir ka janaza hai

    hila Dala tha apni kafirana fikr se jis ne

    yakayak sari duniya ko

    faqat bis aadmi hamrah hain is ke janaze ke

    zamana jis ki qadr-o-manzilat karta tha aur jis ke KHayalon se sanwarta tha

    wo baghi ja raha hai aaj akela ek albela musafir tha

    karoDon mominon par tha jo bhaari aisa kafir tha

    sitare kyun chamakte hain dilon ka majra kya hai

    satiza-KHu hai kyun insan mohabbat ka maza kya hai

    ye tahqiq is ka mazhab tha

    hazaron sal nargis apni be-nuri pe roegi

    Source:

    Gyan Marg ky Nazme.n (Pg. 54)

    • Author: KRISHN MOHAN
      • Edition: 1974
      • Publisher: National Acadami, Ansari Market, Daryaganj
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now